Kuch Iss Tarah Tarrap Kar Main Be-Qaraar Roya Dushman Bhi Cheekh Utha,Be-Ikhtiyaar Roya

Kuch Iss Tarah Tarrap Kar Main Be-Qaraar Roya

Dushman Bhi Cheekh Utha,Be-Ikhtiyaar Roya

Kia Uss Ko Be-Qaraari Yaad Aa Gai Humari

Mil Mil Ke Bijliyon Se Abr Bahaar Roya

"Faani" Ko Ye Junoon Hai Ya Teri Aarzoo Hai

Kal Naam Le Ke Tera Be-Ikhtiyaar Roya

Faani Badayoni



کچھ اس طرح تڑپ کر میں بے قرار رویا
دشمن بھی چیخ اُٹھا ، بے اختیار رویا
کیا اُس کو بے قراری یاد آگئی ہماری
مل مل کے بجلیوں سے ابر بہار ، رویا
فانی کو یہ جنوں ہے یا تیری آرزو ہے
کل نام لے کے تیرا بے اختیار رویا
فانی بدایونی

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo