100 Lafzon Ki Kahani Ihsaanmand

100 Lafzon Ki Kahani

Ihsaanmand

Betay Ne Do Jorre Kaprron Ke Diye,Aur Aik Dabal Roti

Phir Ghar Se Nikaal Diya

Main Ne Dabal Roti Aik Aawaara Kuttay K Saamney Daali

Aur Eidhi Home Chala Aaya

Teen Din Tak Sochta Raha

Keh Kia Betay Ko Meri Yaad Aaye Gi?

Kia Mujhe Waapas Lenay Aaye Ga?

Kia Wo Mujhe Ghar Me Rakhnay K Liye

Bahoo Ko Qaail Kar Paae Ga?

Chotay Din Mujhe Kisi Ne Bataya

Keh Koi Milne Aaya Hai

Main Khushi Khushi Seerrhiyaan Utra

Haanpta Kaampta Mehmaankhaane Puhoncha

Dekha Keh Aankhon Me Tashakkur Ke Jazbaat Liye

Zubaan Nikaaley

Aik Aawaara Kutta Dum Hila Raha Tha....!

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo