Kamaal-E-Zabat Ko Khud Bhi To Aazmaaowoon Gi Main Apne Hath Se Us Ki Dulhan Sajaaowoon Gi


شاعرہ پروین شاکر
بک خوشبو صفحہ 179 180
انتخاب
‫‏عروسہ ایمان
کمال ۓ ضبط کو خود بھی تو آزماؤں گی
میں اپنے ہاتھ سے اس کی دلہن سجاؤں گی
سپرد کرکے اسے چاندنی کے ہاتھوں میں
میں اپنے گھر کے اندھیروں کو لوٹ آؤں گی
بدن کے کرب کو وہ بھی سمجھ نہ پاۓ گا
میں دل میں روؤں گی آنکھوں میں مسکراؤں گی
وہ کیا گیا کہ رفاقت کے سارے لطف گۓ
میں کس سے روٹھ سکوں گی کسے مناؤں گی
اب اس کا فن تو کسی اور سے ہوا منسوب
میں کس کی نظم اکیلے میں گنگناؤں گی
وہ ایک رشتہ ۓ بے نام بھی نہیں لیکن
میں اب بھی اس کے اشاروں پہ سر جھکاؤں گی
بچھا دیا تھا گلابوں کے ساتھ اپنا وجود
وہ سو کے اٹھے تو خوابوں کی راکھ اٹھاؤں گی
سماعتوں میں گھنے جنگلوں کی سانسیں ہیں
میں اب کبھی تیری آواز سن نہ پاؤں گی
جواز ڈھونڈ رہا تھا نئی محبت کا
وہ کہہ رہا تھا میں اس کو بھول جاؤں گی

Poetess Parveen Shakir

Kamaal-E-Zabat Ko Khud Bhi To Aazmaaowoon Gi

Main Apne Hath Se Us Ki Dulhan Sajaaowoon Gi

Suprad Kar K Usay Chaandni K Hathoon Mein

Main Apne Ghar K Andheroon Ko Loat Aaowoon Gi

Badan K Karb Ko Wo Bhi Samjh Na Paye Ga

Main Dil Mein Rowoon Gi Aankhoon Mein Muskuraaowoon Gi

Wo Kaya Gaya K Rafaaqt K Sare Lutf Gaye

Main Kis Se Rooth Sakhoon Gi Kise Manaaowoon Gi

Ab Us Ka Fun To Kisi Aur Se Huwa Mansoob

Main Kis Ki Nazam Akele Mein Gungunaaowoon Gi

Wo Aik Rishta-E-BeNaam Bhi Nahein Lekin

Main Ab Bhi Us K Ishaaroon Pe Sar Jhukaaowoon Gi

Bichha Diya Tha Gulaaboon K Sath Apna Wajood

Wo So K Uthe To Khawaaboon Ki Rakh Uthaaowoon Gi

Samaitoon Mein Ghane Jangloon Ki Saansein Hain

Main Ab Kabhi Teri Aawaz Sun Na Paaowoon Gi

Jawaaz Dhoond Raha Tha Nai Mohabbat Ka

Wo Keh Raha Tha K Main Us Ko Bhool Jaaowoon Gi.................................*


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai