To Kia Main Tumhein Kabhi Yaad Hi Nahi Aaya Kisi Gulaab Ko Tehni Se Torr Kar Bhi Nahi To Kia Main Tumhein Kabhi Yaad Hi Nahi Aaya

 

To Kia Main Tumhein Kabhi Yaad Hi Nahi Aaya

Kisi Gulaab Ko Tehni Se Torr Kar Bhi Nahi

To Kia Main Tumhein Kabhi Yaad Hi Nahi Aaya

Subak Kalayi Mein Gajrey Kabhi Pehentay Hoe

Gulaab Haathon Pe Mehindi Kabhi Lagatay Hoe

Sufaid Dhoodhya Aanchal Ko Zard Rangtay Hoe

Gulaal Maltay Hoe Chhorriyaan Pehentay Hoe

Chamaktay Maathay Pe Bindia Kabhi Sajatay Hoe

Sanwar K Dair Tak Aainay Ko Taktay Hoe

To Kia Main Tumhein Kabhi Yaad Hi Nahi Aaya

Kisi Kabotar e Gardaa'n Ko Dekh Kar Bhi Nahi

Kabhi Diya Kisi Dargaah Pe Jalatay Hoe

Kisi Dukaan Pe Saarri Pasand Karte Hoe

Lachakti Shaakh Pe Pehla Gulaab Lagtay Hoe

Kabhi Yunhi Kisi Makhsoos Dhun Ko Suntay Hoe

Kabhi Kabhi Yunhi Koi Kitaab Parhtay Hoe

Barastay Abr Mein Chhat Pe Kabhi Nehatay Hoe

Kisi Suhaili Se Hanstay Samey Liptay Hoe

Kisi Khayal Mein Baithay Se Uth Ke Chaltay Hoe

Kisi Bhi Raat Ko Uth Kar Yunhi Tehltay Hoe

Akelay Door Tak Khashi Mein Chaltay Hoe

Khala Ki Zaat Ki Be-Aasra Bhataktay Hoe

Kisi Pahaarr Pe Sanbhal K Charrtay Hoe

Utartay Chaand Ka Muojon Mein Aks Partay Hoe

Kabhi Libaas Pe Khushbo Koi Lagatay Hoe

Fiza Mein Sokhay Patton Ka Shor Suntay Hoe

Mitay Hoe Se Darakhton Pe Naam Parrhtay Hoe

Kisi Bhi Roz Yunhi Ghar K Kaam Kartay Hoe

Aazaan Hote Hi Aanchal Se Sar Ko Dhaktay Hoe

To Kia Main Tumhein Kabhi Yaad Hi Nahi Aaya

Kisi Gulaab Ko Tehni Se Torr Kar Bhi Nahi

Kisi Kabotar e Gardaa'n Ko Dekh Kar Bhi Nahi

Kisi Darakht K Saaye Mein Bath Kar Bhi Nahi

To Kia Main Tumhein Kabhi Yaad Hi Nahi Aaya

Poet:Khalilullah Farooqui

 

تو کیا میں تمہیں کبھی یاد ہی نہیں آیا

کسی گلاب کو ٹہنی سے توڑ کر بھی نہیں

تو کیا میں تمہیں کبھی یاد ہی نہیں آیا

سُبک کلائی میں گجرے کبھی پہنتے ہوئے

گلاب ہاتھوں پہ مہندی کبھی لگاتے ہوئے

سفید دودھیا آنچل کو زرد رنگتے ہوئے

گُلال ملتے ہوئے چوڑیاں پہنتے ہوئے

چمکتے ماتھے پہ بندیا کبھی سجاتے ہوئے

سنور کے دیر تک آئینے کو تکتے ہوئے

تو کیا میں تمہیں کبھی یاد ہی نہیں آیا

کسی کبوترِ گرداں کو دیکھ کر بھی نہیں

کبھی دیا کسی درگاہ پر جلاتے ہوئے

کسی دکان پہ ساڑھی پسند کرتے ہوئے

لچکتی شاخ پہ پہلا گلاب لگتے ہوئے

کبھی یونہی کسی مخصوص دُھن کو سنتے ہوئے

کبھی کبھی یونہی کوئی کتاب پڑھتے ہوئے

برستے ابر میں چھت پہ کبھی نہاتے ہوئے

کسی سہیلی سے ہنستے سمے لپٹتے ہوئے

کسی خیال میں بیٹھے سے اُٹھ کے چلتے ہوئے

کسی بھی رات کو اُٹھ کر یونہی ٹہلتے ہوئے

اکیلے دور تک خامشی میں چلتے ہوئے

خلا کی ذات کی بے آسرا بھٹکتے ہوئے

کسی پہاڑ پہ تنہا سنبھل کے چڑھتے ہوئے

اُترتے چاند کا موجوں میں عکس پڑتے ہوئے

کبھی لباس پہ خوشبو کوئی لگاتے ہوئے

فضا میں سوکھے پتّوں کا شور سنتے ہوئے

مٹے ہوئے سے درختوں پہ نام پڑھتے ہوئے

کسی بھی روز یونہی گھر کے کام کرتے ہوئے

اذان ہوتے ہی آنچل سے سر کو ڈھکتے ہوئے

تو کیا میں تمہیں کبھی یاد ہی نہیں آیا

کسی گلاب کو ٹہنی سے توڑ کر بھی نہیں

کسی کبوترِ گرداں کو دیکھ کر بھی نہیں

کسی درخت کے سائے میں بیٹھ کر بھی نہیں

تو کیا میں تمہیں کبھی یاد ہی نہیں آیا

خلیل اللہ فاروقی


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai