Dil K Aqde Khol Rahi Hai Jogan Moti Rol Rahi Hai (Poet Abdul Hameed Addam)


شاعر عبدالحمید عدم
بک کلیات عدم صفحہ 1534
.
انتخاب
‫‏عروسہ ایمان
.
دل کے عقدے کھول رہی ہے
جوگن موتی رول رہی ہے
.
کون آیا ہے تنہائی میں؟
تنہائی بھی بول رہی ہے
.
کانٹے کی میزان پہ وحشت
پھولوں کا دھن تول رہی ہے
.
نینوں کو کچھ ہوش میں لاؤ
ساری دنیا ڈول رہی ہے
.
اف پھولوں کا ہنستا موسم
موسیقی پر تول رہی ہے
.
قریہ قریہ گونج رہا ہے
بستی بستی بول رہی ہے
.
ہاۓ عدم وہ آنکھ جو ہنس کر
شہد میں شبنم گھول رہی ہے
 
Poet Abdul Hameed Addam

Dil K Aqde Khol Rahi Hai
Jogan Moti Rol Rahi Hai
Kon Aaya Hai Tanhaai Mein
Tanhaai Bhi Bol Rahi Hai
Kaante Ki Meezaan Pe Wehshat
Phooloon Ka Dhan Tol Rahi Hai
Nainoon Ko Kuch Hosh Mein Laaow
Sari Dunya Dol Rahi Hai
Uff Phooloon Ka Hansta Mosam
Moseqi Par Tol Rahi Hai
Qariya Qariya Goonj Raha Hai
Basti Basti Bol Rahi Hai
Haaye ADDAM Wo Aankh Jo Hans Kar
Shehad Mein Shabnam Ghol Rahi Hai...............................*

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo