Ye Negah-e-Sharm Jhuki Jhuki,Ye Jabeen-e-Naaz Dhuaan Dhuaan Mere Bas Ki Ab Nahi Dastaan,Mera Kanpta Hai Ruvaan Ruvaan(Iqbal Azeem)


Ye Negah-e-Sharm Jhuki Jhuki,Ye Jabeen-e-Naaz Dhuaan Dhuaan
Mere Bas Ki Ab Nahi Dastaan,Mera Kanpta Hai Ruvaan Ruvaan
Ye Takhaulaat Ki Zindagi,Ye Tasawwaraat Ki Bandagi
Faqat Ik Faraib-e-Khayal Par,Meri Zindagi Hai Ravaan Davaan
Mere Dil Pe Naqsh Hain Aaj Tak,Wo Ba-Iteyat Nawazishein
Wo Ghuroor-O-Zabt A'ayan A'ayan,Wo Khuloos-E-Rabt Nihaan Nihaan
Na Safar Bashart-E-Maal Hai,Na Talab Baqaid-E-Sawaal Hai
Faqat Aik Sairi-E-Zauq Ko,Main Bhatak Raha Hon Kahaan Kahaan
Meri Khalwaton Ki Ye Jannatein Kai Baar Saj Ke Ujhar Gaien
Mujhe Baarha Ye Gumaan Hua,Keh Tum Aa Rahe Ho Kashaan Kashaan
Iqbal Azeem

یہ نگاہِ شرم جُھکی جُھکی، یہ جبینِ ناز دُھواں دُھواں
مِرے بس کی اب نہیں داستاں، مِرا کانپتا ہے رُواں رُواں
یہ تخیّلات کی زندگی، یہ تصوّرات کی بندگی
فقط اِک فریبِ خیال پر، مِری زندگی ہے رواں دواں
مِرے دل پہ نقش ہیں آج تک، وہ با احتیاط نوازشیں
وہ غرور و ضبط عیاں عیاں، وہ خلوصِ ربط نہاں نہاں
نہ سفر بشرطِ مآل ہے، نہ طلب بقیدِ سوال ہے
فقط ایک سیریِ ذوق کو، میں بھٹک رہا ہوں کہاں کہاں
مِری خلوتوں کی یہ جنّتیں کئی بار سج کے اُجڑ گئیں
مجھے بارہا یہ گمان ہوا، کہ تم آرہے ہو کشاں کشاں
اقبال عظیم

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha