Zulf,Phir Usmein Phool,Uff ALLAH Rukh,Rukh-e-Mahtaab Unka (Shahzad Qais)


Zulf,Phir Usmein Phool,Uff ALLAH
Rukh,Rukh-e-Mahtaab Unka
Hont,Barg-e-Gulaab Bheega Hoa
Jisam,Jaam-e-Sharaab Unka Hai
Haath Se Khol Di Hai Kachhi Kali
Kitna Roshan Jawaab Unka Hai
Aik Hi Waar,Wo Bhi Dil Pe Karo
Seedha Saadah Hisaab Unka Hai
Rukh Pe Ma'asomiat Ka Pehra Hai
Kaam Ye Kamyaab Unka Hai
Aqal To Meri Ik Bhi Sunti Nahi
Dil Bhi Khana-Kharaab Unka Hai
Wo Jo Phoolon Mein Chhup Ke Bethey Hain
Kitna Achha Hijaab Unka Hai
Ankabooton Ne "Wah Wah" Kaha
Itna Nazuk Naqaab Unka Hai
"Qais" Sab Se Haseen Shair Hai
Chunkey Wo "Intekhaab" Unka Hai
Shahzad Qais

زُلف ، پھر اُس میں پھول ، اُف اَللہ
رُخ ، رُخِ ماہتاب اُن کا ہے
ہونٹ ، برگِ گلاب بھیگا ہُوا
جسم ، جامِ شراب اُن کا ہے
ہاتھ سے کھول دی ہے کچی کلی
کتنا رَوشن جواب اُن کا ہے
ایک ہی وار ، وُہ بھی دِل پہ کرو
سیدھا سادہ حساب اُن کا ہے
رُخ پہ معصومیت کا پَہرا ہے
کام یہ کامیاب اُن کا ہے
عقل تو میری اِک بھی سنتی نہیں
دِل بھی خانہ خراب اُن کا ہے
وُہ جو پھولوں میں چھُپ کے بیٹھے ہیں
کتنا اَچھا حجاب اُن کا ہے
عنکبوتوں نے ’’واہ واہ‘‘ کہا
اِتنا نازُک نقاب اُن کا ہے
قیس سب سے حسین شاعر ہے
چونکہ وُہ ’’اِنتخاب‘‘ اُن کا ہے

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha