Hum Us Din Eid Manaaein Ge, Wo Jin K Ghar Veeran Huye,


عید انتخاب
شاعر منان قدیر منان
بک ہم نہ ملتے تو اچھا تھا
صفحہ 67 68
انتخاب
‫‏عروسہ ایمان
وہ جن کے گھر ویران ہوۓ
وہ جن کے دل قبرستان ہوۓ
وہ پھول سے چہرے بچوں کے
مرجھاۓ ہوۓ اکتاۓ ہوۓ
جب دیکھتے ہیں تو اس دل سے
پھر اک پکار سی اٹھتی ہے
جب ان مایوس سی آنکھوں میں
کچھ روشن سے خواب آئیں گے
ہم اس دن عید منائیں گے
اے محرومو اے مظلومو
ہم مشکل کی ان گھڑیوں میں
نہ ساتھ تمہارا چھوڑیں گے
نہ ٹوٹنے دیں گے رشتہء غم
ہم دل سے دل جوڑیں گے
ہم سب مل کر دنیا والو
بس ایک ہی وعدہ کرتے ہیں
ہم ایک ارادہ کرتے ہیں
جب فاقہ کش یے لوگ یہاں
لاچار اٹھائیں ڈھاچے
تن ڈھاپیں گے کچھ کھائیں گے
ہم اس دن عید منائیں گے
نہ عید مناؤ دل والو
کچھ روگ ابھی باقی ہیں
یہاں زندہ لاشوں کی صورت
کچھ لوگ ابھی باقی ہیں
ہم جشن کا کیسے ذکر کریں
کچھ سوگ ابھی باقی ہیں
کیوں عید منائیں مذدور
زردار ابھی تک زندہ ہیں
کیوں خوش ہوتے ہو اہلء وطن
غدار ابھی تک زندہ ہیں
انسان کی خوشیوں کے دشمن
جب سولی پے چڑھ جائیں گے
ہم اس دن عید منائیں گے
.
Poet Manaan Qadeer Manan
Hum Us Din Eid Manaaein Ge,
Wo Jin K Ghar Veeran Huye,
Wo Jin K Dil Qabristaan Huye,
Wo Phool Se Chehre Bechon K,
Murjhaaye Huye Uktaaye Huye,
Jab Dekhte Hain To Is Dil Se,
Phir Aik Pukar Si Uthti Hai,
Jab In Mayoos Si Aankhoon Mein,
Kuch Roshan Khawaab Aaein Ge,
Hum Us Din Eid Manaaein Ge,
Ay Mehroomo Ay Mazloomo,
Hum Mushkil Ki In Gharriyon Mein,
Na Saath Tumhara Chhorrein Ge,
Na Tootne Dein Ge Rishta-E-Gham,
Hum Dil Se Dil Ko Jorrein Ge,
Hum Sub Mil Kar Dunya Walo,
Bas Aik Hi Wada Karte Hain,
Hum Aik Irada Karte Hain,
Jab Faqah Kash Ye Log Yahan,
Lachaar Uryaa'n Dhanche,
Tan Dhanpein Ge Kuch Khaein Ge,
Hum Us Din Eid Manaaein Ge
Na Eid Manaawo Dil Walo,
Kuch Rog Abhi Tak Baqi Hain,
Yahan Zinda Lashon Ki Soorat,
Kuch Log Abhi Tak Baqi Hain,
Hum Jashan Ka Kese Zikar Karein,
Kuch Sog Abhi Tak Baqi Hain,
Kion Eid Manaaein Mazdoor ?
Zardaar Abhi Tak Zinda Hain,
Kion Khush Hote Ho Ehl-E-Wattan ?
Ghadaar Abhi Tak Zindah Hain,
Insaan Ki Khushiyon K Dushman,
Jab Sooli Pe Charrh Jaein Ge,
Hum Us Din Eid Manaaein Ge

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai