Garmiy-e-Hasrat-e-Nakaam Say Jal Jatay Hain Ham Charaghoun KI Trah Shaam Say Jal Jatay Hain


گرمئی حسرتِ ناکام سے جل جاتے ہیں
ہم چراغوں کی طرح شام سے جل جاتے ہیں

شمع جس آگ میں جلتی ہے نمائش کے لیے
ہم اُسی آگ میں گمنام سے جل جاتے ہیں

خود نمائی تو نہیں شیوہء اربابِ وفا
جن کو جلنا ہو وہ آرام سے جل جاتے ہیں

بچ نکلتے ہیں اگر آتشِ سیّال سے ہم
شعلہء عارضِ گلفام سے جل جاتے ہیں

جب بھی آتا ہے مرا نام ترے نام کے ساتھ
جانے کیوں لوگ مرے نام سے جل جاتے ہیں

قتیل شفائی

Garmiy-e-Hasrat-e-Nakaam Say Jal Jatay Hain
Ham Charaghoun KI Trah Shaam Say Jal Jatay Hain

 Shama Jis Aag Main Jalti Hay Numaish K Liye
Ham Usi Aag Main Gumnaam Say Jal Jatay HAin

 Khud Numaai To Nahin Shaiwa-e-Arbaab-e-Wafa
Jin Ko Jalna Ho Woh Aaraam Say Jal Jatay Hain

 Bach Nikaltay HAin Agar Aatish-e-Sayyal Say Ham
Shola Aariz-e-Gulfaam Say Jal Jatay HAin

 Jab Bhi Aata Hay Mera Naam Tere Naam K Sath
Janay Kuin LoG Mere Naam Say Jal Jatay HAin

 Qateel shifai

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha