Moti Haar Proye Huye Din Guzare Hain Roye Huye


شاعرہ پروین شاکر
بک خود کلامی
انتخاب
‫‏عروسہ ایمان
موتی ہار پروۓ ہوۓ
دن گزرے ہیں روۓ ہوۓ
.
نیند مسافر کو ہی نہیں
رستے بھی ہیں سوۓ ہوۓ
.
جشن ۓ بہار میں آ پہنچے
زخم کا چہرہ دھوۓ ہوۓ
.
کبھی نہ کشت ۓ جاں اجڑی
خواب تھے ایسے بوۓ ہوۓ
.
اس کو پا کر رہتے ہیں
اپنے آپ میں کھوۓ ہوۓ
.
آج بھی یونہی رکھے رہے
سارے ہار پروۓ ہوۓ
.
کتنی برساتیں گذریں
اس سے مل کر روۓ ہوۓ



Poetess:Parveen Shakir

Moti Haar Proye Huye
Din Guzare Hain Roye Huye
Neend Musaafir Ko Hi Nahein
Raste Bhi Hain Soye Huye
Jashan-E-Bahaar Mein Aa Pohnche
Zakham Ka Chehra Dhoye Huye
Kabhi Na Kashat-E-Jaan Ujrri
Khawaab The Aise Boye Huye
Us Ko Paa Kar Rehte Hain
Apne Aap Mein Khoye Huye
Aaj Bhi Younhi Rakhe Rahe
Sare Haar Proye Huye
Kitni Barsaatein Guzrein
Us Se Mil Kar Roye Huye...*

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo