Is Liye Tasveer-e-Janaan Hum Ny Banwayi Nahi


ایک بادشاہ کےسامنےایک عالم ایک غریب ایک عاشق اورایک نابینا بیٹھے تھے شعرو شاعری کا مقابلہ ھورہاتھا
بادشاہ نے کہا میں ایک مصرہ سناتاھوں اسکاپہلامصرہ آپ لوگوں کوبناناھو گا

 
بادشاہ
اس لئے تصویر جاناں ہم نے بنوائی نہیں
عالم
بت پرستی دین احمد میں کبھی آئی نہیں
اس لئے تصویر جاناں ہم نے بنوائی نہیں
غریب
مانگتا پیسے مصور, جیب میں پائی نہیں
اس لئے تصویر جاناں ہم نے بنوائی نہیں
عاشق
ایک سے جب دو ہوۓ پھر لطف یکتائی نہیں
اس لئے تصویر جاناں ہم نے بنوائی نہیں
نابینا
مجھ میں بینائی نہیں اور اس میں گویائی نہیں
اس لئے تصویر جاناں ہم نے بنوائی نہیں


Aik Badshah Ke Saamny Aik Aalim Aik Ghareeb Aik Aashiq Aor Aik Na-Beena Bethy Thy

Shair-O-Shairi Ka Muqabla Ho Raha Tha

Badsha Ny Kaha Main Aik Misra Sunata Hon

Isska Pehla Misra Aap Logo Ko Banana Ho Ga

 

BADSHAH

Is Liye Tasveer-e-Janaan Hum Ny Banwayi Nahi

AALIM

Butt-Parasti Deen-e-Ahmad Mein Kabhi Aayi Nahi

Is Liye Tasveer-e-Janaan Hum Ny Banwayi Nahi

GHAREEB

Mangta Paise Musawwir,Jaib Mein Paayi Nahi

 Is Liye Tasveer-e-Janaan Hum Ny Banwayi Nahi

AASHIQ

Aik Se Jab Do Hoe Phir Lutf Yaktaayi Nahi

 Is Liye Tasveer-e-Janaan Hum Ny Banwayi Nahi

NA-BEENA

Mujh Mein Beenayi Nahi,Uss Mein Goyaayi Nahi

 Is Liye Tasveer-e-Janaan Hum Ny Banwayi Nahi

 


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai