Phool Par Aa Ke Baithi To,Khud Par Itrana Bhool Gayi Aisi Mast Hoi Wo Titli,Par Phailana Bhool Gayi


پھول پر آ کے بیٹھی تَو، خود پر اِترانا بُھول گئی
ایسی مست ہُوئی وہ تتلی' پَر پھیلانا بُھول گئی

کلیوں نے ہر بھنورے تتلی سے پوچھا ہے اُس کا نام
بادِ صبا جس پھول کے گھر سے لَوٹ کے آنا بُھول گئی

ایسا کِھلا وہ پُھول سا چہرہ، پھیلی سارے گھر میں خوش بُو
خط کو چُھپا کر پڑھنے والی، راز چُھپانا بُھول گئی

اپنے پرانے خط لینے وہ آئی تھی میرے کمرے میں
میز پہ دو تصویریں دیکِھیں، خط لے جانا بُھول گئی

برسوں بعد مِلے تو ایسی پیاس بھری تھی آنکھوں میں
بُھول گیا مَیں بات بنانا، وہ شرمانا بُھول گئی

ساجن کی یادیں بھی، خاوَر  ! کِن لمحوں آ جاتی ہیں
گوری آٹا گُوندھ رہی تھی، نمک مِلانا بُھول گئی

(خاور احمد)


Phool Par Aa Ke Baithi To,Khud Par Itrana Bhool Gayi

Aisi Mast Hoi Wo Titli,Par Phailana Bhool Gayi

Kalion Ne Har Bhunre Titli Se Pocha Hai Uska Naam

Baad-e-Saba Jis Phool Ke Ghar Se Laot Ke Aana Bhool Gayi

Aisa Khila Wo Phool Sa Chehra,Phaili Saare Ghar Mein Khushbo

Khat Ko Chhupa Kar Parhne Wali,Raaz Chhupana Bhool Gayi

Apne Purane Khat Laine Wo Aayi Thi Mere Kamre Mein

Maiz Pe Do Tasveerein Dekhein,Khat Lejana Bhool Gayi

Barson Baad Mily Tou Aisi Piyas Bhari Thi Aankhon Mein

Bhool Gaya Main Baat Batana,Wo Sharmana Bhool Gayi 

Saajin Ki Yaadein Bhi," KHAAWAR " Kin Lamhon Aa Jati Hain

Gori Aata Goondh Rahi Thi,Namak Milana Bhool Gayi

( Khaawar Ahmad )


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai