Tu Rah Nurad-e-Shouq Hai,Manzil Na Kar Qubool Laila Bhi Humnasheen Ho Tou Mahmal Na Kar Qubool


 سلطان ٹيپوکی وصيت

تو رہ نورد شوق ہے ، منزل نہ کر قبول
ليلي بھي ہم نشيں ہو تو محمل نہ کر قبول

اے جوئے آب بڑھ کے ہو دريائے تند و تيز
ساحل تجھے عطا ہو تو ساحل نہ کر قبول

کھويا نہ جا صنم کدہ کائنات ميں
محفل گداز ! گرمي محفل نہ کر قبول

صبح ازل يہ مجھ سے کہا جبرئيل نے
جو عقل کا غلام ہو ، وہ دل نہ کر قبول

باطل دوئي پسند ہے ، حق لا شريک ہے
شرکت ميانہ حق و باطل نہ کر قبول

(ضربِ کلیم)

 

 Tu Rah Nurad-e-Shouq Hai,Manzil Na Kar Qubool

Laila Bhi Humnasheen Ho Tou Mahmal Na Kar Qubool

Aye Joy-e-Aab Bad Ke Ho Darya-e-Tund-o-Taiz

Sahil Tujhe Aata Ho Tou Sahil Na Kar Qubool

Khoya Na Ja Sanam Kadah Kainaat Mein

Mehfil Gudaaz ! Garmi-e-Mehfil Na Kar Qubool

Subah Azal Ye Mujhe Se Kaha Jibrail (A.S) Ne

 Jo Aqal Ka Ghulam Ho, Wo Dil Na Kar Qubool

Batil Doi Pasand Hai,Haq La Shareek Hai

 Shirkat Miana Haq-o-Batil Na Kar Qubool

(Zarb-e-Kaleem)

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha