Ab Kon Se Mousam Se Koi Aas Lagaye,Barsaat Mein Bhi Yaad Na Jab Unko Hum Aaye




پروین شاکر

اب کون سے موسم سے کوئی آس لگائے
برسات میں بھی یاد نہ جب اُن کو ہم آئے

مٹّی کی مہک سانس کی خوشبو میں اُتر کر
بھیگے ہوئے سبزے کی ترائی میں بُلائے

دریا کی طرح موج میں آئی ہُوئی برکھا
زردائی ہُوئی رُت کو ہرا رنگ پلائے

بوندوں کی چھما چھم سے بدن کانپ رہا ہے
اور مست ہوا رقص کی لَے تیز کیے جائے

شاخیں ہیں تو وہ رقص میں ، پتّے ہیں تو رم میں
پانی کا نشہ ہے کہ درختوں کو چڑھا جائے

ہر لہر کے پاؤں سے لپٹنے لگے گھنگھرو
بارش کی ہنسی تال پہ پا زیب جو چھنکائے

انگور کی بیلوں پہ اُتر آئے ستارے
رکتی ہوئی بارش نے بھی کیا رنگ دکھائے

Ab Kon Se Mousam Se Koi Aas Lagaye

Barsaat Mein Bhi Yaad Na Jab Unko Hum Aaye

Mitti Ki Mehik Saans Ki Khushbo Mein Utar Kar

Bheege Hoe Sabze Ki Tarai Mein Bulaye

Darya Ki Tarah Mouj Mein Aai Hoi Barkha

Zardai Hoi Rut Ko Hara Rang Bulaye

Bondon Ki Chama Cham Se Badan Kanp Raha Hai

Aur Mast Hawa Raqs Ki Ly Tez Kiye Jaye

Shakhein Hain Tou Wo Raqs Mein,Pattey Hain Tou Ram Mein

Pani Nasha Hai Keh Darakhton Ko Chada Jaye

Har Lehar K Paon Se Lepatney Lagey Ghunghroo

Barish Ki Hansi Taal Pe Paazaib Jo ChanKaaye

Angoor Ki Bailon Pe Utar Aaye Sitare

Rukti Hoi Barish Ne Bhi Kia Rang Dekhaye

Parveen Shakir


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai