Jaan Hai Beqarar Sii,Jisam Hai Paimal Sa Ab Na Wo Dagh,Wo Jigar,Sirf Hai Ik Khayal Sa


جان ہے بے قرار سی ، جسم ہے پائمال سا
اب نہ وہ داغ، وہ جگر، صرف ہے اِک خیال سا

چاہیئے عِشق میں مجھے، آپ ہی کا جمال سا
داغ ہر ایک بدر سا، زخم ہر اِک ہلال سا

دِل پہ مِرے گرائی تھیں تم نے ہی بجلیاں، مگر
آؤ نظر کے سامنے، مجھ کو ہے احتمال سا

حُسن کی سحرکاریاں، عِشق کے دِل سے پُوچھئے
وصل کبھی ہے ہجر سا، ہجر کبھی وصال سا

گُم شدگانِ عشق کے شان بھی کیا عجیب ہے
آنکھ میں اِک سرُور سا، چہرے پہ اِک جلال سا

یاد ہے آج تک مجھے پہلے پہل کی رسم و راہ
کچھ اُنہیں اجتناب سا، کچھ مجھے احتمال سا

جگر مراد آبادی

Jaan Hai Beqarar Sii,Jisam Hai Paimal Sa 

Ab Na Wo Dagh,Wo Jigar,Sirf Hai Ik Khayal Sa

Chaheye Ishq Mein Mujhe,Aap Hi Ka Jamal Sa

Dagh Har Aik Badar Sa,Zakham Har Ik Hilal Sa

Dil Par Mere Girai Thein Tum Ne Hi Bijlian,Magar

Aao Nazar Ke Samne , Mujh Ko Hai Ihtemal Sa

Husn Ki Saharkaarian,Ishq Ke Dil Se Poochiye

Wasal Kabhi Hai Hijar Sa,Hijar Kabhi Wisal Sa

Gumshudgan-e-Ishq Ke Shaan Bhi Ajeeb Hai

Aankh Mein Ik Suroor Sa,Chehre Pe Ik Jalal Sa

Yaad Hai Aaj Tak Mujhe Pehle Pehl Ki Rasm-o-Rah

Kuch Unhain Ijtenab Sa,Kuch Mujhe Ihtemal Sa

Jigar MuradAbadi


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo