Lab Tere Laal-O-Naab Hain Donoon Par Tamaami Ataab Hain Donoon


Poet Meer Taqi Meer
Book Intkhab Kalam-E-Meer
Page 300
Ghazal No 301

Lab Tere Laal-O-Naab Hain Donoon

Par Tamaami Ataab Hain Donoon

Rona Aankhoon Ka Roiye Kab Tak ?

Phootnay Hi K Baab Hain Donoon

Hai Takluf Naqab Way Rukhsaar

Kaya Chhapees Aaftaab Hain Donoon

Tan K Ma'Amooray Hain Yahi Dil-O-Chasham

Ghar Thay Do So Kharaab Hain Donoon

Paoun Mein Wo Nashah Talab Ka Nahain

Ab To Sar Masat Khawaab Hain Donoon

Aik Sab Aag
Aik Sab Pani

Deedah-O-Dil Azaab Hain Donoon

Behas Kaahay Ko Laal-O-Marjaan Se?

Us K Lab Hi Jawaab Hain Donoon

Aagay Dariya Thay Deedah Tar MEER

Ab Jo Daikho Saraab Hain Donoon...................*
 

شاعر میر تقی میر
بک انتخاب کلام میر
صفحہ 300
غزل 301
قافیہ ناب ہیں عتاب ہیں باب ہیں
ردیف دونوں


لب ترے لعل و ناب ہیں دونوں
پر تمامی عتاب ہیں دونوں
.
رونا آنکھوں کا روئیے کب تک؟
پھوٹنے ہی کے باب ہیں دونوں
.
ہے تکلف نقاب وے رخسار
کیا چھپیس آفتاب ہیں دونوں
.
تن کے معمورے ہیں یہی دل و چشم
گھر تھے دو سو خراب ہیں دونوں
.
پاؤں میں وہ نشہ طلب کا نہیں
اب تو سرمست خواب ہیں دونوں
.
ایک سب آگ ایک سب پانی
دیدہ و دل غذاب ہیں دونوں
.
بحث کاہے کو لعل و مرجان سے؟
اس کے لب ہی جواب ہیں دونوں
.
آگے دریا تھے دیدہ تر میر
اب جو دیکھو سراب ہیں دونوں


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha