Mansoob Thay Jo Log Meri Zindagi Ke Saath Aksar Voh Hi Milay Hein Barri Be-Rukhi Ke Saath


Mansoob Thay Jo Log Meri Zindagi Ke Saath
Aksar Voh Hi Milay Hein Barri Be-Rukhi Ke Saath
Yun Toh Mein Hans Parra Hun Tumhaare Liye Magar
Kitney Sitaare Tuut Parrey Ek Hansi Ke Saath
Majbooriyon Ki Baat Chali Hai Toh Mai Kahan
Hum Ne Piya Hai Zehr Bhi Aksar Khushi Ke Saath
Chehre Badal Badal Ke Mujhe Mil Rahe Hein Log
Itna Bura Sulook Meri Saadgi Ke Saath

‎منسوب تھے جو لوگ میری زندگی کےساتھ
‎ اکثر وہی ملے ہیں بڑی بے رُخی کے ساتھ
‎ یوں تو مَیں ہنس پڑا ہُوں تمہارے لیے مگر
‎ کتنے ستارے ٹوٹ پڑے اِک ہنسی کے ساتھ
‎ مجبوریوں کی بات چلی ہے تو مئے کہاں
‎ ہم نے پِیا ہے زہر بھی اکثر خوشی کے ساتھ
‎چہرے بدل بدل کے مجھے مل رہے ہیں لوگ
‎اتنا بُرا سلوک میری سادگی کے ساتھ

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai