Faseel-e-Shehar Par Thi Zarb-e-Kaari Kamandaron Ka Shouq Sheharyari



فصیلِ شہر پر تھی ضربِ کاری
کماں داروں کا شوق شہریاری

کہاں فن کار کو مر کے بھی حاصل
عذابِ زندگی سے رستگاری

ہجومِ رنگ میں بھی دل کا مسلک
کسی عہدِ وفا کی پاسداری

اسی چہرے سے اوروں کی پرکھ ہے
ابھی تک ہے وُہی اک شکل پیاری

وہ جب خود ٹوٹنے والا ہوا تھا
میں ہاری بھی تو کیسے وقت ہاری

زمیں ماں کی طرح ہے ہر ستم پر
بس اِک حرفِ دُعا ہونٹوں سے جاری

پروین شاکر

Faseel-e-Shehar Par Thi Zarb-e-Kaari
Kamandaron Ka Shouq Sheharyari

Kahan Fankaar Ko Mar Ke Bhi Hasil
Azab-e-Zindagi Se Rastkaari

Hujom Rang Mein Bhi Dil Ka Maslak
Kisi Ahd-e-Wafa Ki Paasdari

Usi Chehre Se Aoron Ki Parkh Hai
Abhi Tak Hai Wahi Shakal Piari

Wo Jab Khud Tootny Wala Howa Tha
Main Hari Bhi Tou Kaise Waqt Hari

Zameen Maa Ki Tarah Hai Har Sitam Par
Bas Ik Harf-e-Dua Honton Se Jaari

Parveen Shakir

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha