Laboon Pe Phool Khilte Hain Kisi K Naam Se Pehlay Diloon Mein Deep Jaltay Hain Charaagh-E-Sham Se Pehlay



شاعر امجد اسلام امجد
بک اس پار
ماخوذ کلیات غزل

صفحہ 
211

لبوں پہ پھول کھلتے ہیں
کسی کے نام سے پہلے
دلوں کے دیپ جلتے ہیں
چراغ ۓ شام سے پہلے

کبھی منظر بدلنے پر بھی قصہ چل نہیں پاتا
کہانی ختم ہوتی ہے کبھی
انجام سے پہلے

یہی تارے تمہاری آنکھ کے چلمن میں رہتے ہیں
یہی سورج نکلتا تھا
تمہارے بام سے پہلے

دلوں کی جگمگاتی بستیاں تاراج کرتے ہیں
یہی جو لوگ لگتے ہیں
نہایت عام سے پہلے

ہوئی ہے شام جنگل میں پرندے لوٹتے ہوں گے
اب ان کو کس طرح روکیں
نواح ۓ دام سے پہلے

یے سارے رنگ مردہ تھے تمہارے صورت بننے تک
یے ساری حرف مہمل تھے
تمہارے نام سے پہلے

ہوا ہے وہ اگر منصف تو امجد احتیاطن ہم
سزا تسلیم کرتے ہیں
کسی الزام سے پہلے


Poet Amjid Islam Amjid
Book Us Paar
Maakooz Kulyat-E-Ghazal

Page 211

Laboon Pe Phool Khilte Hain
Kisi K Naam Se Pehlay
Diloon Mein Deep Jaltay Hain
Charaagh-E-Sham Se Pehlay
Kabhi Manzar Badlnay Par Bhi Qisa Chal Nahein Pata
Kahaani Khatam Hoti Hai
Kabhi Anjaam Se Pehlay
Yahi Taare Tumhari Aankh Ki Chilman Mein Rehtay Thay
Yahi Sooraj Niklta Tha
Tumhare Baam Se Pehlay
Diloon Ki Jagmgati Bastiyaan Taaraaj Kartay Hain
Yahi Jo Log Lagtay Hain
Nihaayt Aam Se Pehlay
Hui Hai Sham Jangle Mein Parinday Lot'Tay Hon Ge
Ab Un Ko Kis Taraf Rokein
Nawaah-E-Daam Se Pehlay
Ye Sare Rang Murdah Thay Tumhari Soorat Ban'Nay Tak
Ye Sare Hurf Mehmal Thay
Tumhare Naam Se Pehlay
Huwa Hai Wo Agar Munsif To Amjid Ahtiyaatan Hum
Saza Tasleem Karte Hain
Kisi Ilzam Se Pehlay......*

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha