Ik Jadogar Hai Aankhon Ki Basti Mein Tare Tank Raha Hai Meri Chunri Mein
اک جادوگر ہے آنکھوں کی بستی میں
تارے ٹانک رہا ہے میری چنری میں
میرے سخی نے خالی ہاتھ نہ لوٹایا
ڈھیروں دکھ باندھے ہیں میری گٹھڑی میں
کون بدن سے آگے دیکھے عورت کو
سب کی آنکھیں گروی ہیں اس نگری میں
جن کی خوشبو چھید رہی ہے آنچل کو
کیسے پھول وہ ڈال گیا ہے جھولی میں
جس نے مہر و ماہ کے کھاتے لکھنے ہوں
میں اک ذرہ کب تک اس کی گنتی میں
عشق حساب چکانا چاہا تھا ہم نے
ساری عمر سما گئی ایک کٹوتی میں
حرف زیست کو موت کی دیمک چاٹ بھی لے
کب سے ہوں محصور بدن کی گھاٹی میں
حمیدہ شاہین
Ik Jadogar Hai Aankhon Ki Basti Mein
Tare Tank Raha Hai Meri Chunri Mein
Mere Sakhi Ne Khali Haath Na Laotaya
Dheron Dukh Bandhe Hain Meri Gathdi Mein
Kon Badan Se Aagay Dekhe Aurat Ko
Sab Ki Aankhen Garvi Hain Is Nagri Mein
Jin Ki Khushbo Ched Rahi Hai Aanchal Ko
Kaise Phool Wo Dal Gaya Hai Jholi Mein
Jis Ne Mehr-O-Mah Ke Khaty Lekhne Hon
Main Ik Zara Kab Tak Uski Ginti Mein
Ishq Hisaab Chukana Chaha Tha Hum Ne
Saari Umar Sama Gai Aik Katoti Mein
Harf-E-Zeest Ko Mout Ki Deemak Chaat Bhi Le
Kab Se Hon Mahsoor Badan Ki Ghati Mein
Hameeda Shaheen
Comments
Post a Comment