Waqt Ke Takazo Ko Is Tarah Bhi Samjha Kar Aaj Ki Gawahi Par Mat Qiyas-e-Farda Kar


وقت کے تقاضوں کو اس طرح بھی سمجھا کر
آج کی گواہی پر مت قیاس- فردا کر

تیرے ہر رویے میں بد گمانیاں کیسی
جب تلک ہے دنیا میں اعتبار- دنیا کر

جس نے زندگی دی ہے وہ بھی سوچتا ہوگا
زندگی کے بارے میں اس قدر نہ سوچا کر

حرف و لب سے ہوتا ہے کب ادا ہر اک مفہوم
بے زبان آنکھوں کی گفتگو بھی سمجھا کر

ایک دن یہی عادت تجھ کو خوں رلائے گی
تو جو یوں پرکھتا ہے ہر کسی کو اپنا کر

یہ بدلتی قدریں ہی حاصل- زمانہ ہیں
بار بار ماضی کے یوں ورق نہ الٹا کر

خوں رلائیں گے منظر مت قریب آ محسن
آئینہ کدہ ہے دہر دور سے تماشا کر

محسن بھوپالی

Waqt Ke Takazo Ko Is Tarah Bhi Samjha Kar
Aaj Ki Gawahi Par Mat Qiyas-e-Farda Kar

Tere Har Rawayae Mein Bad-Gumanian Kaisi
Jab Talak Hai Dunya Mein Itbaar-e-Dunya Kar

Jis Ne Zindagi Di Hai Wo Bhi Sochta Ho Ga
Zindagi Ke Bare Mein Isqadar Na Socha Kar

Harf-o-Lab Se Hota Hai Kab Ada Har Ik Mafhoom
Be-Zubaan Aankhon Ki Gutgo Bhi Samjha Kar

Aik Din Yahi Aadat Tujhko Khoon Rulai Gi
Tuu Jo Yun Parakhta Hai Har Kisi Ko Apna Kar

Ye Badalti Qadrein Hi Hasil-e-Zamana Hain
Baar Baar Mazi Ke Yun Warq Na Ulta Kar

Khoon Rulaingy Manzar Mat Qareeb Aa "Mohsin"
Aaina Kadah Hai Dahar Door Se Tamasha Kar

Mohsin Bhopali

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha