Aik Maikhana Hai Dunya Saari Iss Liye Hat Ke Zara Jeetay Hain



ایک میخانہ ہے دنیا ساری
اس لئے ہٹ کے ذرا جیتے ہیں

جامِ غفلت ہے یہ انساں کی طلب
جب سے سمجھے یہ نہ ہم پیتے ہیں

کس پہ کیا بیتی خبر کیا ہم کو
ہم تو بس خود پہ سدا بیتے ہیں

تو تھا بازی تجھی کو ہار دیا
پھر جو جیتے ہیں تو کیا جیتے ہیں

زخم بن جائے نہ شہرت ابرک
سو چھپا کر سبھی سے سیتے ہیں 

اتباف ابرک

Aik Maikhana Hai Dunya Saari
Iss Liye Hat Ke Zara Jeetay Hain

Jaam-e-Ghaflat Hai Ye Insan Ki Talab
Jab Se Samjhe Ye Na Hum Peetay Hain

Kis Pe Kia Beeti Khabar Kia Hum Ko
Hum Toh Bas Khud Ye Sada Beetay Hain

Tuu Tha Baazi Tujhee Ko Haar Dia
Phir Jo Jeetay Hain Toh Kia Jeetay Hain

Zakham Ban Jai Na Shuhrat "ABRAK"
So Chupa Kar Sabhi Se Seetay Hain

Atbaf Abrak

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo