Badi Aag Hai,Badi Aanch Hai,Tere Maikady Ke Gulaab Mein Kai Balian,Kai Chodian Yahan Ghul Rahi Hain Sharaab Mein



بڑی آگ ہے، بڑی آنچ ہے، ترے میکدے کے گلاب میں
کئی بالیاں ، کئی چوڑیاں یہاں گھل رہی ہیں شراب میں
وہی لکھنے پڑھنے کا شوق تھا ، وہی لکھنے پڑھنے کا شوق ہے
ترا نام لکھنا کتاب پر، ترا نام پڑھنا کتاب میں
وہ بدن سخن کا جمال ہے، وہ جمال اپنی مثال ہے
کوئی ایک مصرعہ نہ کہہ سکا، کبھی اس غزل کے جواب میں
یہ نوازشیں یہ عنایتیں، ترا شکر کیسے ادا کروں
سرِ راہ پھول بچھا دیے، مرے آنسوؤں کے جواب میں
مرے زرد پتوں کی چادریں بھی ہوائیں چھین کے لے گئیں
میں عجب گلاب کا پھول ہوں‘جو برہنہ سر ہے شباب میں
یہ دُعا ہے ایسی غزل کہوں ‘کبھی پیش جسے میں کرسکوں
کوئی حرف تیرے حضور میں‘کوئی شعر تیری جناب میں

Badi Aag Hai,Badi Aanch Hai,Tere Maikady Ke Gulaab Mein
Kai Balian,Kai Chodian Yahan Ghul Rahi Hain Sharaab Mein
Wahi Lekhny Padny Ka Shoq Tha,Wahi Lekhny Padny Ka Shoq Hai
Tera Naam Lekhna Kitaab Par,Tera Naam Parhna Kitaab Mein
Wo Badan Sukhan Ka Jamaal Hai,Wo Jamaal Apni Misaal Hai
Koi Aik Misra Na Keh Saka,Kabhi Us Ghazal K Jawaab Mein
Ye Nawazeshein Ye Inayatein,Tera Shukar Kaise Ada Karon
Sar-e-Raah Phool Bicha Diye,Mere Aansoun K Jawaab Mein
Mere Zard Pat'ton Ki Chaadaren Bhi Hawaein Cheen K Le Gaein
Main Ajab Gulaab Ka Phool Hon,Jo Barehna Sar Hai Shabaab Mein
Ye Dua Hai Aisi Ghazal Kahon,Kabhi Paish Jise Main Kar Sakon
Koi Harf Tere Huzoor Mein,Koi Shair Teri Janaab Mein

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha