Kabhi Hum Bhi Khubsorat Thy Kitabon Mein Basi Khushbo Ki Manind Saans Sakin Thi


کبھی هم بھی خوبصورت تھے
کتابوں میں بسی خوشبو کی مانند
سانس ساکن تھی
بہت سے ان کہے لفظوں سے تصویریں بناتے تھے
پرندوں کے پروں پر نظم لکھ کر
دور کی جھیلوں میں بسنے والے لوگوں کو سناتے تھے
جو ہم سے دور تھے
لیکن ہمارے پاس رہتے تھے
نئے دن کی مسافت
جب کرن کے ساتھ آنگن میں اترتی تھی
تو ہم کہتے تھے۔۔۔۔۔امی
تتلیوں کے پر بہت ہی خوبصورت ہیں
ہمیں ماتھے پہ بوسا دو
کہ ہم کو تتلیوں کے‘ جگنوؤں کے دیس جانا ہے
ہمیں رنگوں کے جگنو‘ روشنی کی تتلیاں آواز دیتی ہیں
نئے دن کی مسافت
رنگ میں ڈوبی ہوا کے ساتھ
کھڑکی سے بلاتی ہے
ہمیں ماتھے پہ بوسا دو
همیں ماتھے په بوسه دو

Kabhi Hum Bhi Khubsorat Thy
Kitabon Mein Basi Khushbo Ki Manind
Saans Sakin Thi
Buhat Se An-Kahai Lafzon Se Tasveerein Banate The
Parindon Ke Paron Par Nazam Lekh Kar
Door Ki Jheelon Mein Basne Wale Logon Ko Sunate The
Jo Hum Se Door The
Lekin Hamare Paas Rehte The
Nai Din Ki Musafat
Jab Kiran Ke Saath Angan Mein Utarti Thi
Tou Ham Kehte The.....Ammi
Titlion Ke Par Buhat Khubsorat Hain
Hamein Mathe Pe Bosa Do
Keh Hum Ko Titlion Ke,Jugnoun Ke Dais Jana Hai
Hamein Rangon Ke Jugno,Roshni Ki Titlian Awaz Deti Hain
Nai Din Ki Masafat
Rang Mein Dobi Hawa Ke Saath
Khidki Se Bulati Hai
Hamein Mathe Pe Bosa Do
Hamein Mathe Pe Bosa Do

Sheikh Muhammad Aslam Azad

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha