Kafir Hon Sarphera Hon Mujhe Maar Dejiye Main Sochne Laga Hon Mujhe Maar Dejiye


کافر ھُوں، سر پھرا ھُوں مجھے مار دیجیے
میں سوچنے لگا ھُوں مجھے مار دیجیے
Kafir Hon Sarphera Hon Mujhe Maar Dejiye
Main Sochne Laga Hon Mujhe Maar Dejiye

ھے احترام ِ حضرت ِانسان میرا دین
بے دین ھو گیا ھُوں مجھے مار دیجیے
Hai Ihteram-e-Hazrat-e-Insan Mera Deen
Be-Deen Ho Gaya Hon Mujhe Maar Dejiye
میں پوچھنے لگا ھُوں سبب اپنے قتل کا
میں حد سے بڑھ گیا ھُوں مجھے مار دیجیے
Main Poochne Laga Hon Sabab Apne Qatal Ka
Main Had Se Bad Gaya Hon Mujhe Maar Dejiye

کرتا ھُوں اہل جبہ و دستار سے سوال
گستاخ ھو گیا ھُوں مجھے مار دیجیے
Karta Hon Ahl-e-Juba-o-Dastar Sawal
Gustakh Ho Gaya Hon Mujhe Maar Dejiye

خوشبو سے میرا ربط ھُے جگنو سے میرا کام
کتنا بھٹک گیا ھُوں مجھے مار دیجیے
Khushbo Se Mera Rabt Hai Jugno Se Mera Kam
Kitna Bhatak Gaya Hon Mujhe Maar Dejiye

معلوم ھے مجھے کہ بڑا جرم ھے یہ کام
میں خواب دیکھتا ھُوں مجھے مار دیجیے
Maloom Hai Mujhe Keh Bada Jurm Hai Ye Kaam
Main Khuwaab Dekhta Hon Mujhe Maar Dejiye

زاہد یہ زہد و تقویٰ و پرہیز کی روش
میں خوب جانتا ھُوں مجھے ما ردیجیے
Zahid Ye Zuhad-o-Taqwa-o-Parhez Ki Rawish
Main Khuwaab Janta Hon Mujhe Maar Dejiye

بے دین ھُوں مگر ھیں زمانے میں جیتنے دین
میں سب کو مانتا ھُوں مجھے مار دیجیے
Be-Deen Hon Magar Hain Zamane Mein Jitne Deen
Main Sab Ko Manta Hon Mujhe Maar Dejiye

پھر اس کے بعد شہر میں ناچے گا ھُو کا شور
میں آخری صدا ھُوں مجھے مار دیجیے
Phir Is Ke Baad Sheher Mein Nache Ga Hoo Ka Shor
Main Akhri Sada Hon Mujhe Maar Dejiye

میں ٹھیک سوچتا ھُوں، کوئی حد میرے لیے
میں صاف دیکھتا ھُوں ،مجھے مار دیجیے
Main Theek Sochta Hon Koi Had Mere Liye
Main Saaf Dekhta Hon Mujhe Maar Dejiye

یہ ظلم ھے کہ ظلم کو کہتا ھُوں صاف ظلم
کیا ظلم کر رھا ھُوں مجھے مار دیجیے
Ye Zulam Hai Keh Zulam Ko Kehta Hon Saaf Zulam
Kia Zulam Kar Raha Hon Mujhe Maar Dejiye

میں عشق ھُوں ،امن ھُوں ,علم ھُوں میں خواب
اک درد لادوا ھُوں مجھے مار دیجیے
Main Ishq Hon,Aman Hon,Ilam Hon Main Khuwaab
Ik Dard La-Dawa Hon Mujhe Maar Dejiye

زندہ رھا تو کرتا رھُوں گا ہمیشہ پیار
میں صاف کہہ رھا ھُوں مجھے مار دیجیے
Zinda Raha Tou Karta Rahonga Hamesha Piyaar
Main Saaf Keh Raha Hon Mujhe Maar Dejiye

جو زخم بانٹتے ھیں انہیں زیست پہ ھے حق
میں پھول بانٹا ھُوں مجھے مار دیجیے
Jo Zakham Bant,te Hain Unhein Zeest Pe Hai Haq
Main Phool Bant'ta Hon Mujhe Maar Dejiye

ھے امن میری شریعت تو محبت مرا جہاد
باغی بہت بڑا ھُوں مجھے مار دیجیے
Hai Aman Meri Shariyat Tou Muhabbat Mera Jihad
Baghi Buhat Bada Hon Mujhe Maar Dejiye

بارود کا نہیں مرا مسلک دُرود ھے
میں خیر مانگتا ھُوں مجھے مار دیجیے
Barood Ka Nahi Mera Maslak Darood Hai
Mein Khair Mangta Hon Mujhe Maar Dejiye

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha