Kahan aa kay ruknay thay rastay, kahan mor tha usay bhool ja wo jo mil gaya usay yaad rakh, jo nahin mila usay bhool ja



Kahan aa kay ruknay thay rastay, kahan mor tha usay bhool ja
wo jo mil gaya usay yaad rakh, jo nahin mila usay bhool ja

wo tere naseeb ki barshain kisi aur chat pe baras gayain
dil-e be khaber meri baat sun usay bhool ja, usay bhul ja

main to gum tha tere dhyan main teri aas tere guman main
saba keh gai mere kaan main, mere saath aa usay bhool ja

tujhay chand ban kay mila tha jo tere sahilon pe khila tha jo
wo tha aik darya visal ka, so utar gaya usay bhool ja

Kaheen Chak-e-Jaan Ka rafoo Nahee, Kisse Asteen Pay Lahoo Nahee
Keh Shaheed-e-Rah-e-Millal Ka Nahee Khun Baha, Ussay Bhool Ja

Kyun Atta Howa Hai Ghubar Main, Gham-e-Zindagee Kay Fishaar Main
Woh Jo Darj Tha Tery Bakhat Main So woh Ho Giya, Ussay Bhool Ja

Na Woh Ankh Teri Ankh Thee, Na Woh Khawab Hee Taira Khawab Tha
Dil-e-Muntazir Too Yeh Kis Liye Taira Jagna, Ussay Bhool Ja

Yeh Jo Raat Din Hai Khel Sa, Issay Dekh, Iss Par Yaqeen Na Kar
Nahi Aks Koi Bhi Mustaqil Sar-e-Aieena, Ussay Bhool Ja

Jo Bisat-e-Jaan Hee Ulat Giya, Woh Jo Rastay Say Palat Giya
Ussay Roknay Say Hasool Kiya, Ussay Mat Bulla, Ussay Bhool Ja

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Kisi Bashar Mein Hazar Khami Agar Jo Dekho Tou Chup Hi Rehna

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha