Kabhi Kabhi Yaad Mein Ubhartey Hain Naqsh Mazi Mity Mity Se Wo Aazmaish Dil-o-Nazar Ki Wo Qurbatein Si Wo Fasly Se



کبھی کبھی یاد میں ابھرتے ہیں نقش ماضی مٹے مٹے سے
وہ آزمائش دل و نظر کی وہ قربتیں سی وہ فاصلے سے
کبھی کبھی آرزو کے صحرا میں آ کے رکتے ہیں قافلے سے
وہ ساری باتیں لگاؤ کی سی وہ سارے عنواں وصال کے سے
نگاہ و دل کو قرار کیسا نشاط و غم میں کمی کہاں کی
وہ جب ملے ہیں تو ان سے ہر بار کی ہے الفت نئے سرے سے
بہت گراں ہے یہ عیش تنہا کہیں سبک تر کہیں گوارا
وہ درد پنہاں کہ ساری دنیا رفیق تھی جس کے واسطے سے
تمہیں کہو رند و محتسب میں ہے آج شب کون فرق ایسا
یہ آ کے بیٹھے ہیں مے کدے میں وہ اٹھ کے آئے ہیں مے کدے سے

Kabhi Kabhi Yaad Mein Ubhartey Hain Naqsh Mazi Mity Mity Se
Wo Aazmaish Dil-o-Nazar Ki Wo Qurbatein Si Wo Fasly Se

Kabhi Kabhi Aarzo Ke Sahra Mein Aa Ke Rukty Hain Qafly Se
Wo Saari Batein Lagao Ki Si Wo Saare Unwaan Wisal Ke Se

Nigaah-o-Dil Ko Qarar Kaisa Nishaat-o-Gham Mein Kami Kahan Ki
Wo Jab Mily Hain Toh Un Se Har Baar Ki Hai Ulfat Nai Sire Se

Buhat Garaan Hai Ye Aaish Tanha Kahein Subaktar Kahein Gawara
Wo Dard Penhaan Keh Saari Dunya Rafeeq Thi Jis Ke Wasty Se

Tumhein Kaho Rind-o-Muhtasib Mein Hai Aaj Shab Kon Farq Aisa
Ye Aa Ke Bhaity Hain Mekaday Mein Wo Uth Ke Aaye Hain Mekaday Se

Faiz Ahmed Faiz

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo