poochtay ho to suno kaisay basar hoti hai raat khairaat ki, sadqay ki sahar hoti hai



پُوچھتے ہو تو سنو کیسے بسر ہوتی ہے
رات خیرات کی، صدقے کی سحر ہوتی ہے
سانس بھرنے کو تو جینا نہیں کہتے یا رب
دل ہی دُکھتا ہے نہ اب آستیں تر ہوتی ہے
جیسے جاگی ہُوئی آنکھوں میں چُبھیں کانچ کے خواب
رات اِس طرح دیوانوں کی بَسر ہوتی ہے
غم ہی دُشمن ہے مِرا، غم ہی کو دِل ڈھونڈتا ہے
ایک لمحے کی جُدائی بھی اگر ہوتی ہے
ایک مرکز کی تلاش، ایک بھٹکتی خوشبو
کبھی منزل کبھی تمہیدِ سفر ہوتی ہے

مینا کماری ناز

Roman Version

poochtay ho to suno kaisay basar hoti hai
raat khairaat ki, sadqay ki sahar hoti hai

saans bharnay ko to jeena nahin kehtay ya rab
dil hi dukhta hai na ab aasteen ter hoti hai

jaisay jaagi hui aankhon mein chubhein kaanch ke khuwab
raat is tarha diwaano ki basar hoti hai

gham hi dushman hai mira, gham hi ko dil Dhoondta hai
aik lamhay ki judai bhi agar hoti hai

aik manzil ki talaash, aik bhatakti khushboo
kbhi manzil, kabhi tamheed-e-safar hoti hai

Meena Kumari
(mah jabeen Naz)

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo