Utho ab dair hoti hai wahan jaa chal kar sanwar jana Yaqeeni hai ghari do main mareez e gham ka mar jana



اٹھو اب دیر ہوتی ہے وہاں چل کر سنور جانا
یقینی ہے گھڑی دو میں مریض غم کا مر جانا
Utho ab dair hoti hai wahan jaa chal kar sanwar jana
Yaqeeni hai ghari do main mareez e gham ka mar jana

مجھے ڈر ہے گلوں کے بوجھ سے مرقد نہ دب جائے
انہیں عادت ہے جب آنا ضرور احسان دھر جانا
Mujhy darr hai guloon kay bojh say murqad na dab jaye
Unhain adat hai jab ana zarror ahsan dhar jana

حباب آ سامنے سب ولولے جوش جوانی کے
غضب تھا قلزم امید کا چڑھ کر اتر جانا
Hubab aa samnay sab walwaly josh jawani kay
Ghazab tha qulzam ka umeed char kar utter jana

یہاں جز کشتیٔ موج بلا کچھ بھی نہ پاؤ گے
اسی کے آسرے دریائے ہستی سے اتر جانا
Yanhan juz kashti moj e bala kuch bhi na paoo gay
Uskay asray darya-e-hasti say utter jana

مبادا پھر اسیر دام عقل و ہوش ہو جاؤں
جنوں کا اس طرح اچھا نہیں حد سے گزر جانا
Mubada phir aseer-e-daam aql-o-hosh hoo jaon
Junnon ka estarah acha nahi had say guzar jana
حفیظ آغاز سے انجام تک رہزن نے پہنچایا
اسی کو ہم سفر پایا اسی کو ہم سفر جانا
hafeez agaz say anjam tak rehzan nay pounchaya
Usee ko hamsafar paya usse ko hamsafar jana

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai