Ik Kahani Sabhi Ne Sunaye Magar , Chaand Khamosh Tha Uski Aawaaz Ka Muntazir Tha Magar , Chaand Khamosh Tha



اک کہانی سبھی نے سنائی مگر ، چاند خاموش تھا
اس کی آواز کا منتظر تھا مگر ، چاند خاموش تھا
کون تھا جس کی آہوں کے غم میں ہوا سرد تھی شہر کی
کس کی ویران آنکھوں کا لے کے اثر، چاند خاموش تھا
وہ جو سہتا رہا رت جگوں کی سزا چاند کی چاہ میں
مرگیا تو نوحہ کناں تھے شجر، چاند خاموش تھا
اس سے مل کے میں یوں خامشی اور آواز میں قید تھا
اک صدا تو مرے ساتھ تھی ہم سفر ، چاند خاموش تھا
کل کہیں پھر خدا کی زمیں پر کوئی سانحہ ہوگیا
میں نے کل رات جب بھی اٹھائی نظر ، چاند خاموش تھا

فرحت عباس شاہ

Ik Kahani Sabhi Ne Sunaye Magar , Chaand Khamosh Tha
Uski Aawaaz Ka Muntazir Tha Magar , Chaand Khamosh Tha
Kon Tha Jiski Aahon Ke Gham Mein Hawa Sard Thi Shehar Ki
Kis Ki Weeraan Aankhon Ka Le Ke Asa  Chaand Khamosh Tha
Wo Jo Sehta Raha Rutjagon Ki Saza Chaand Ki Chhah Mein
Mar Gaya Tou Noha-Kana'an Thay Shajar Chaand Khamosh Tha
Us Se Mil Ke Main Yun Khamshi Aur Aawaaz Mein Qaid Tha
Ik Sada Tou Mere Saath Thi Humsafar , Chaand Khamosh Tha
Kal Kahein Phir Khuda Ki Zameen Par Koi Sanha Ho Gaya
Main Ne Kal Raat Jab Bhi Uthaai Nazar , Chaand Khamosh Tha
 
Farhat Abbas Shah

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha