Khoon Behta Hai Isski Galion Mein Mera Lahore Aabdeeda Hai


Image may contain: night

خون بہتا ہے اسکی گلیوں میں
میرا لاہور آبدیدہ ہے
سانس لینا ہو کیسے پھر ممکن
جب ہر اک شخص سر بریدہ ہے
لاکھ اپنے ہمیں میسر تھے
ہم نے دشمن یہ خود خریدا ہے
موت بن کےجو ہم پہ ہے نازل
ہم نے وہ زہر خود کشیدا ہے
  اتباف ابرک

Khoon Behta Hai Isski Galion Mein
Mera Lahore Aabdeeda Hai
Saans Laina Ho Kaise Phir Mumkin
Jab Har Aik Shakhs Sir-Bareeda Hai
Lakh Apne Hamein Muyasir Thay
Ham Ne Dushman Ye Khud Khareeda Hai
Mout Ban Ke Jo Ham Pe Hai Nazil
Ham Ne Wo Zehr Khud Kasheeda Hai
Atbaf Abrak

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai