silslaawar uraa baais-e-aazar gae ye udaasi ke parinday to mujha maar gae



سلسلہ وار اُڑے باعثِ آزار گئے
یہ اداسی کے پرندے تو مجھے مار گئے

رہ گیا میں ہی اکیلا شبِ تنہائی میں
میرے زندانِ تعلق کے تو سب یار گئے

جاں گئی پر نہ گیا زلف کا سودا سر سے
لے کے اک وحشی ترا ہم جو سرِدار گئے

پھر کبھی موت نے پایا ٹھکانہ میرا
کرکے ایسے مرے ٹکڑے مرے سرکار گئے

رخصت آنکھوں سے ہوئی خواب کی دنیا لیکن
عمر بھر دل سے خلش کے نہیں آثار گئے

اس کہانی میں کوئی کیسے بچھڑتا اکرام
جس کے کردار سبھی بر سرِ پیکار گئے

محمد اکرام قاسمی

silslaawar uraa baais-e-aazar gae
ye udaasi ke parinday to mujha maar gae

reh gaya main he akela shab-e-tanhaii mein
mere zindaan-e-taaluq ke to sab yaar gae

jaan gai par na gaaya zulf ka soda sar sa
le ke ik wehshii tera hum jo sar-e-daar gae

phir kbhi moat ne paya thikana mera
kar ke aise mere tukraa mere sarkaar gae

rukhsat aankhon sa hue khawb ki dunia lakin
umar bhar dil sa khalash ke nahi aasar gae 

uss kahanii mein koi kaise bicharta IKRAAM
jis ke kirdaar sabhii barsar-e-paikaar gae

 Muhammad Ikram Qasmi

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai