Har Simt Gham Ki Dhoop K Pehray Laga Diye Kankar Chunay To Raah Main Sheeshay Bicha Diye




ہر سمت غم کی دھوپ کے پہرے لگا دیئے
کنکر چنے تو راہ میں شیشے بچھا دیئے

محسوس جب ہوا کہ میں ہستی پہ بار ہوں
میں نے کتابِ زیست کے پرزے اڑا دئیے

بجلی کے قمقموں سے منوّر ہیں کوٹھیاں
مٹّی کے سب چراغ ہوا نے بجھا دئیے

ہم زندگی کی فلم کے کردار جب بنے
کچھ حاسدوں نے بیچ کے منظر اڑا دئیے

تنگ آ کے ہم جو بیچنے نکلے وفا صبا
بازار نے خلوص کے بھاؤ گرا دئیے

Har Simt Gham Ki Dhoop K Pehray Laga Diye
Kankar Chunay To Raah Main Sheeshay Bicha Diye

Mehsoos Jab Hua Kah Main Hasti Pah Baar Houn
Main Nay Kitaab-e-Zeest K Purzay Ura Diye

Bijli K Qamqamoun Say Munawwar Hain Kothian
Matti K Sab Chiragh Hawa Nay Bujha Diye

Ham Zindagi Ki Film K Kirdaar Jab Banay
Kuch Haasidoun Nay Beech K Manzar Ura Diye

Tang Aakay Ham Jo Baichnay Niklay Wafa Saba
Bazaar Nay Khuloos K Bhao Gira Diye

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai