Kab Talak Shamma Jaly Yaad Nahi Shaam-e-Gham Kaise Dhaly Yaad Nahi



کب تلک شمع جلی یاد نہیں
شام غم کیسے ڈھلی یاد نہیں

اس قدر یاد ہے اپنے تھے سبھی
کس نے کیا چال چلی یاد نہیں

ہم زمانے میں کچھہ ایسے بھٹکے
اب تو ان کی بھی گلی یاد نہیں

ابر تھا جام تھا پر آپ نہ تھے
وہ گھڑی کیسے تلی یاد نہیں

کٹ گئی عمر کسی طرح کٹی
وہ بری تھی یا بھلی یاد نہیں

Roman Version

Kab Talak Shamma Jaly Yaad Nahi
Shaam-e-Gham Kaise Dhaly Yaad Nahi

Iss Qadar Yaad Hai Apne Thay Sabhi
Kis Ne Kia Chhaal Chaly Yaad Nahi

Hum Zamane Me Kuch Aise Bhatky
Ab Tou Unki Bhi Galy Yaad Nahi

Abr Tha Jaam Tha Par Aap Na Thay
Wo Gharhi Kaise Taly Yaad Nahi

Kat Gayi Umar Kisi Tarah Katy
Wo Buri Thi Ya Bhali Yaad Nahi

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo