Ashk aankhon say gir gaya hai kaheen Ban kay darya utar gaya hai kaheen



اشک آنکھوں سے گر گیا ہے کہیں
بن کے دریا اتر گیا ہے کہیں

آنکھ پھڑکی جو بےسبب` تو لگا
ِ وه بھی مشکل میں گھر گیا ہے کہیں

ِ ہاتھ رکھا جو اس نے دل پہ مرے
ِ راگ ہولے سے چھڑ گیا ہے کہیں

رات جذبوں نے لی جو انگڑائی
لمحہ لمحہ ، نکھر گیا ہے کہیں

اپنی قربت کے خواب دکھلا کے
زہر نس نس میں بھر گیا ہے کہیں

نوحہ گر ہے جو کل سے آنکھ میری
خواب رستے میں مر گیا ہے کہیں۔

Ashk aankhon say gir gaya hai kaheen
Ban kay darya utar gaya hai kaheen

Aankh pharrki jo be'sabab to laga
Woh bhi mushkil men ghir gaya hai kaheen

Haath rakha jo is nay dil pay meray
Raag holay say chhirr gaya hai kaheen

Raat jazbon nay li jo angrraaii
Lamha lamha nikhar gaua hai kaheen

Apni qurbat kay khawab dikhla kay
Zehar nas nas men bhar gaya hai kaheen

Noha'gar hai jo kal say aankh meri
Khawab rastay men mar gaya hai kaheen

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai