Mein to soch rahi thi keh Mujhay sab kuch bhool chuka hai



میں تو سوچ رھی تھی کہ مجھے سب کچھ بھول چکا ھے
وه جو ادھورے خوابوں کی کہانی تھی
وه جو میں نے تمہیں سنانی تھی
جب
وقت نے اپنی سانسوں سے روح کے بدن پر لکھا تھا
وقت نارسا کا مہر
اُن شناسا باتوں کا زہر
جو کبھی تم نے مجھ میں انڈیلا تھا
بڑی چاه سے جسے میں نے سنبھالا تھا
مدت بعد
یہ آج مجھے کس مقام پہ لے آئے ھو
ایسے کہ
نہ آئے ھی ھو اور نہ گئے ھو تم
نہ اپنے ھی ھو اور نہ پرائے ھو تم
میری جان
ادھورے خوابوں کی کہانیاں ادھوری ھی رھنے دو
اور اب
ٍان ادھوری کہانیوں کو بلاعنوان ھی رھنے دو

Mein to soch rahi thi keh
Mujhay sab kuch bhool chuka hai
Woh jo adhooray khawabon ki kahani thi
Woh jo mein nay tumhen sunaaii thi
Jab
Waqt nay apni saanson say rooh kay badan par likha tha
Waqt na'rasa ka mehar
Un shanaasa baaton ka zehar
Jo kabhi tum nay mujh men undaila tha
Barri chaah say jisay mein nay sanbhaala tha
Muddat baad
Yeh aaj mujhay kis muqaam pay lay aaye ho
Aisay keh
Na aaye ho aur na gaye ho tum
Na apnay he ho aur na paraaye ho tum
Meri jaan
Adhooray khawabon ki kahaaniyaan adhoori he rehnay do
Aur ab
In adhoori kahaaniyon ko bila'unwaan he rehnay do

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha