Agar kabhi meri yaad aaye, To chaand raaton ki naram dilgeer roshni men, Kisi sitaaray ko dekh lena



Agar kabhi meri yaad aaye,
To chaand raaton ki naram dilgeer roshni men,
Kisi sitaaray ko dekh lena,
Agar woh nakhal falak say urr kar tumharay qadmon men aa giray to,
Yeh jaan lena woh ista'aara tha meray dil ka,
Agar na aaye..
Magar yeh mumkin he kis tarah hai keh tum kisi par nigaah daalo,
To uski deewaar-e-jaan na tootay,
Woh apni hasti na bhool jaaye,
Agar kabhi meri yaad aaye,
Guraiz karti hawaa ki lehron pe haath rakhna,
Main khushbu'on men tumhen miloon ga,
Mujhay gulaabon ki patiyon men talaash karna,
Main aus qatron kay aainon men tumhen miluun ga,
Agar sitaaron men, aus qatron men, khushbu'on men na paao mujh ko,
To apnay qadmon men dekh lena,
Main gard hoti masaafat'on men tumhen miluun ga,
Kahiin pay roshan chiraagh dekho to jaan lena,
Keh her patangay kay saath main bhi bikhar chuka hoon,
Tum apnay haathon say un patangon ki khaak dariya men daal dena,
Main khaak ban kar samandaron men safar karuun ga,
Kisi na dekhay huye jazeeray pay ruk kay tum ko sadaayen duun ga,
Samandaron kay safar pay niklo to us jazeeray pay bhi utarna,
Agar kabhi meri yaad aaye…
Amjad Islam Amjad

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo