Dil Mein Ik Jaan e Tamanna Ne Jagah Paai Hai Aaj Gulshan Mein Nahi Ghar Mein Bahaar Aai Hai


Image may contain: 1 person, smiling, close-up


دل میں اک جان_تمنا نے جگہ پائی ہے
آج گلشن میں نہیں گھر میں بہار آئی ہے
آ گیا میرے تصور میں کوئی پردہ نشیں
آج ہر چیز نظر آنے لگی مجھ کو حسیں
کیا کہوں میں بڑی دلکش میری تنہائی ہے ...
بہکی بہکی نشہء حسن میں کھوئی کھوئی
جیسے خیام کی رنگین رباعی کوئی
دل کے شیشے میں پری بن کے اتر آئی ہے ...
حسن کے سامنے اظہار_وفا ہے مشکل
کاش چھپ کر ہی وہ سن لیں میرا افسانہء دل
جس نے یہ پیار کی منزل مجھے دکھلائی ہے
آج گلشن میں نہیں گھر میں بہار آئی ہے ...
شکیل بدایونی

Dil Mein Ik Jaan e Tamanna Ne Jagah Paai Hai
Aaj Gulshan Mein Nahi Ghar Mein Bahaar Aai Hai
Aa Gaya Mere Tasawwer Mein Koi Parda-Nasheen
Aaj Har Cheez Nazar Aanay Lagi Mujhko Haseen
Kia Kahon Main Badi Dil-Kash Meri Tanhaai Hai
Behki Behki Nasha e Husn Mein Khoi Khoi
Jaise Khayam Ki Rangeen Rubai Koi
Dil K Sheeshay Mein Pari Ban K Utar Aai Hai
Husn K Saamnay Izhaar e Wafa Hai Mushkil
Kaash Chup Kar Hi Woh Sun Len Mera Afsana e Dil
Jis Ne Ye Piyar Ki Manzil Mujhe Dekhlai Hai
Aaj Gulshan Mein Nahi Ghar Mein Bahaar Aai Hai
Shakeel Badayuni

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha