Ishq Ko Jism Ki Hajat To Nahi Ishq, Ay Dost Tijarat To Nahi



Ishq Ko Jism Ki Hajat To Nahi
Ishq, Ay Dost Tijarat To Nahi
Lafz, Tasveer Teri Bante Gaye
Ye Mohabbat Ki karamat To Nahi
Kuch To Rone Ka Sabab Hai Warna
Chashm-e-Hairan Ki Ye Aadat To Nahi
Bas Nibhate Hain Yunhi Tujhse Hum
Zindagi Teri Zarurat To Nahi
Puchta Hai Ye Maseeha Mujhse
Saans Lene Me Sahulat To Nahi
Main Jo Tabe Nahi Hun Khud Apne
Mujhpe Ab Teri Hukumat To Nahi
Main Bhi Dil Me Hun Tere Duniya Bhi
Ye Mohabbat Me Dayanat To Nahi
Aaj Lab Par Nahi Jo Naam Tera
Waqt-e- Aakhir Ki Alamat To Nahi....!!

عشق کو جسم کی حاجت تو نہیں
عشق اے دوست تجارت تو نہیں
لفظ تصویر تری بنتے گئــے
یہ محبت کی کرامت تو نہیں...؟
کچھ تو رونے کا سبب ہے ورنہ
چشمِ حیراں کی یہ عادت تو نہیں
بس نبھاتے ہیں یونہی تجھ سے ہم
زندگی تیری ضرورت تو نہیں
پوچھتا ہے یہ مسیــحا مجھ سے
سانس لینے میں سہولت تو نہیں....؟
میں جو تابع نہیں ہوں خود اپنے
مجھ پہ اب تیری حکومت تو نہیں....-؟
میں بھی دل میں ہوں ترے دنیا بھی
یہ محبت میں دیانت تو نہیں
آج لب پـر نہیں جــو نام تــرا
وقتِ آخـر کی علامت تو نہیں

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo