Musawwer Main Tera Shahkaar Wapas Karne Aaya Hon Ab Iss Rangeen Rukhsaron Mein Thodi Zardiyan Bhar De Hijaab-Aalood Nazron Mein Zara Be-Bakiyan Bhar De



Francesco Vinea
(1845 - 1902)
Italian painter

مصور میں ترا شاہکار واپس کرنے آیا ہوں

اب ان رنگین رخساروں میں تھوڑی زردیاں بھردے
حجاب آلود نظروں میں ذرا بے باکیاں بھر دے

لبوں کی بھیگی بھیگی سلوٹوں کومضمحل کردے
نمایاں رنگِ پیشانی پہ عکس سوزِ دل کر دے

تبسم آفریں چہرے میں کچھ سنجیدہ پن بھر دے
جواں سینے کی مخروطی اٹھانیں سرنگوں کر دے

گھنے بالوں کو کم کردے مگر رخشندگی دے دے
نظر سے تمکنت لے کرمذاقِ عاجزی دے دے

مگر ہاں بنچ کے بدلے اسے صوفے پہ بٹھلا دے
یہاں میرے بجائے اک چمکتی کار دکھلا دے​

ساحر لدھیانوی

Musawwer Main Tera Shahkaar Wapas Karne Aaya Hon

Ab Iss Rangeen Rukhsaron Mein Thodi Zardiyan Bhar De
Hijaab-Aalood Nazron Mein Zara Be-Bakiyan Bhar De

Labon Ki Bheegi Bheegi Selwaton Ko Muzmahel Kar De
Numayan Rang e Paishaani Pe Aks e Souz e Dil Bhar De

Tabasum Aafreen Chehre Mein Kuch Sanjeeda-Pan Bhar De
Jawaan Seenay Ki Makhrooti Uthanein Sir-Nagon Kar De

Ghanay Baalon Ko Kam Kar De Magar Rakhshandgi Dy De
Nazar Se Tamkanat Le Kar Mazaq e Aajizi Dy De

Magar Haan Bench Ke Badly Ise Sofay Pe Bethla De
Yahan Mere Bajaye Ik Chamakti Car Dekhla De

Sahir Ludhianvi

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai