Sukhan-e-Haq Ko Fazeelat Nahi Milne Wali Sabar Par Dad-e-Shuja'at Nahi Milne Wali



سخنِ حق کو فضیلت نہیں مِلنے والی
صبر پر دادِ شجاعت نہیں مِلنے والی
وقتِ معلوم کی دہشت سے لرزتا ہوا دل
ڈُوبا جاتا ہے کہ مُہلت نہیں مِلنے والی
زندگی نذر گزاری تو مِلی چادرِ خاک
اِس سے کم پر تو یہ نعمت نہیں مِلنے والی
راس آنے لگی دُنیا تو کہا دِل نے کہ جا!
اب تُجھے درد کی دولت نہیں مِلنے والی
ہوسِ لقمۂ تر کھا گئی لہجے کا جلال
اب کِسی حرف کو حُرمت نہیں مِلنے والی
گھر سے نکلے ہوئے بیٹوں کا مقدر معلوم
ماں کے قدموں میں بھی جنت نہیں مِلنے والی
زندگی بھر کی کمائی یہی مِصرعے دو چار
اِس کمائی پہ تو عزت نہیں مِلنے والی
افتخارعارف

Sukhan-e-Haq Ko Fazeelat Nahi Milne Wali
Sabar Par Dad-e-Shuja'at Nahi Milne Wali
Waqt e Maloom Ki Dehshat Se Larazta Huwa Dil
Dooba Jata Hai K Mohlat Nahi Milne Wali
Zindagi Nazar Guzari To Mili Chadar-e-Khaak
Iss Say Kam Par To Yeh Nemat Nahi Milne Wali
Raas Anay Lagi Duniya To Kaha Dil Ney K Ja
Ab Tujhe Dard Ki Doulat Nahi Milne Wali
Hawas-e-Luqmah-e-Tar Kha Gayi Lehjey Ka Jalal
Ab Kisi Harf Ko Hurmat Nahi Milne Wali
Ghar Sey Niklay Hue Baiton Ka Muqaddar Maloom
Maa K Qadmon Mein Bhi Jannat Nahi Milne Wali
Zindagi Bhar Ki Kamaai Yahi Misrey Do Chaar
Iss Kamaai Pay To Izzat Nahi Milne Wali
Iftikhar Arif

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo