Uss K Labon Pe Raat Kahani Gazab Ki Thi Jazbat Beh Rahe Thay Rawani Gazab Ki Thi



اس کے لبوں پہ رات کہانی غضب کی تھی
جذبات بہہ رہے تھے روانی غضب کی تھی
Uss K Labon Pe Raat Kahani Gazab Ki Thi
Jazbat Beh Rahe Thay Rawani Gazab Ki Thi
 
راجہ بھی لاجواب تھا وادی عشق کا
لیکن دیار حُسْن کی رانی غضب کی تھی
Raja Bhi La-Jawab Tha Wadi e Ishq Ka
Lekin Diyar e Husn Ki Raani Gazab Ki Thi

کیا کیا نہ شام آئی میری عمر میں مگر
گزری جو تیرے ساتھ سہانی غضب کی تھی
Kia Kia Na Shaam Aai Meri Umar Mein Magar
Guzri Jo Tere Saath Suhani Gazab Ki Thi
 
دیکھی ہے میں نے شہر میں چڑھتی جوانیاں
لیکن جو تجھ پہ آئی جوانی غضب کی تھی
Dekhi Hai Main Ne Shehr Mein Charhti Jawaniyan
Lekin Jo Tujh Pe Aai Jawani Gazab Ki Thi
 
میں کے اک عمر تک لکھتا رہا داستان غم
جو تم نے سنائی کل شب وہ کہانی غضب کی تھی
Main K Ik Umar Tak Lekhta Raha Dastaan e Gham
Jo Tum Ne Sunai Kal Shab Woh Kahani Gazab Ki Thi

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo