Qadam qadam pe aisay rokta hai dil Kabhi kabhi to lagta hai khuda hai dil



قدم قدم پہ ایسے روکتا ہے دل
کبھی کبھی تو لگتا ہے خدا ہے دل
دماغ تک کبھی صدا نہیں گئی
عجیب طرز کا کوئی خلا ہے دل
مرے مقابلے پہ کس کو لاؤ گے؟
مرے سوا کسی کو مانتا ہے دل؟
ہے بے دلی کے باوجود خوش دلی
نہ چاہ کر بھی کچھ تو چاہتا ہے دل
کہیں سے کوئی یاد ابھرنے لگتی ہے
کسک کی وادیوں میں ڈوبتا ہے دل
تمہارے بعد کا تو خیر کیا کہیں
تمہارے ساتھ بھی بہت دکھا ہے دل
ہم اپنی اپنی راہ چل دیے مگر
عجیب ہے وہیں رکا ہوا ہے دل
فریحہ نقوی
Qadam qadam pe aisay rokta hai dil
Kabhi kabhi to lagta hai khuda hai dil
Damagh tak kabhi sadaa nahi gai
Ajeeb tarz ka koi khala hai dil
Bus aik hi par iktifa kray bhi kiun
Azal se chaar main bata hua hai dil
Meray muqablay pe kis ko laao gay?
Meray siwa kisi ko manta hai dil?
Hai be-dili k bawajood khush dili
Na chah kr bhi kuch tou chahta hai dil
Kaheen se koi yaad ubhrnay lagti hai
Kasak ki waadiyoun mein doobta hai dil
Tumhare baad ka tou kher kya kahein
Tumhare sath bhi bohat dukha hai dil
Hum apni apni raah chal diye magar
Ajeeb hai waheen ruka hua hai dil
Fareeha Naqvi

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo