Kia Cheez Thi Kia Cheez Thi Zalim Ki Nazar Bhi Uff Kar K Wahein Baith Gaya Dard e Jigar Bhi
کیا چیز تھی، کیا چیز تھی ظالم کی نظر بھی
اُف کر کے وہیں بیٹھ گیا دردِ جگر بھی
Kia Cheez Thi Kia Cheez Thi Zalim Ki Nazar Bhi
Uff Kar K Wahein Baith Gaya Dard e Jigar Bhi
یہ مجرمِ الفت ہے، تو وہ مجرمِ دیدار
دل لے کے چلے ہو تو لیے جاؤ نظر بھی
Ye Mujrim e Ulfat Hai Tou Woh Mujrim e Deedaar
دل لے کے چلے ہو تو لیے جاؤ نظر بھی
Ye Mujrim e Ulfat Hai Tou Woh Mujrim e Deedaar
Dil Le K Chaly Ho Tou Liye Jao Nazar Bhi
کیا دیکھیں گے ہم جلوہِ محبوب کہ ہم سے
دیکھی نہ گئی دیکھنے والے کی نظر بھی
Kia Dekhengy Hum Jalwa e Mahboob Keh Hum Se
Dekhi Na Gai Dekhny Wale Ki Nazar Bhi
مایوس شبِ ہجر نہ ہو اے دلِ بے تاب
اللہ دکھائے گا تو دیکھیں گے سحر بھی
Mayoos Shab e Hijar Na Ho Ay Dil e Be-Taab
ALLAH Dekhaye Ga Tou Dekhengy Sahar Bhi
جلووں کو ترے دیکھ کے جی چاہ رہا ہے
آنکھوں میں اتر آئے مرا کیفِ نظر بھی
Jalwoun Ko Tere Dekh K Jee Chaah Raha Hai
Aankhon Mein Utar Aae Mera Kaif e Nazar Bhi
واعظ نہ ڈرا مجھ کو قیامت کی سحر سے
دیکھی ہے ان آنکھوں نے قیامت کی سحر بھی
Wa'aiz Na Dara Mujh Ko Qayamat Ki Sahar Se
Dekhi Hai Inn Aankhon Ne Qayamat Ki Sahar Bhi
اُس دل کے تصدق جو محبت سے بھرا ہو
اُس درد کے صدقے جو ادھر بھی ہو اُدھر بھی
Uss Dil Ki Tasaduq Jo Muhabbat Se Bhara Ho
Uss Dard K Sadqy Jo Idhar Bhi Ho Udhar Bhi
Comments
Post a Comment