Hazaar kaam mazay k hain Daagh Ulfat main Jo log Kuch nahi karte Kamaal karte hain



نگاہ پھیر کے عذرِ وصال کرتے ہیں
مجھے وہ الٹی چھری سے حلال کرتے ہیں


Nigah phair k uzr-e-wisaal kartay hain
Mujhay who ulti churi se halaal karte hain


زبان قطع کرو، دل کو کیوں جلاتے ہو
اِسی سے شکوہ، اسی سے سوال کرتے ہیں


Zubaan Qata karo ,Dil ko kiun jalatay ho
Isi se shikwa,isi se sawal karte hain


نہ دیکھی نبض، نہ پوچھا مزاج بھی تم نے
مریضِ غم کو یونہی دیکھ بھال کرتے ہیں


na daikhi nabz,na pocha mezaaj bhi tum nay
Mareez-e-Gham ko younhi daikh bhaal karte hain


مرے مزار کو وہ ٹھوکوں سے ٹھکرا کر
فلک سے کہتے ہیں یوں پائمال کرتے ہیں


Mere mazaar ko woh thoukraoun se thukra kar
Falak se kehte hain youn paamaal karte hain


پسِ فنا بھی مری روح کانپ جاتی ہے
وہ روتے روتے جو آنکھوں کو لال کرتے ہیں


Pas-e-Fana bhi meri rooh kaamp jati hai
Woh rotay rotay jo aankhoun ko laal karte hain


اُدھر تو کوئی نہیں جس سے آپ ہیں مصروف
اِدھر کو دیکھیے، ہم عرض حال کرتے ہیں


Udhar tou koi nahin jis se aap hain masroof
Idhar ko daikhye,hum arz-e-Haal karte hain


یہی ہے فکر کہ ہاتھ آئے تازہ طرزِ ستم
یہ کیا خیال ہے، وہ کیا خیال کرتے ہیں


Yahi hai fikar keh haath aaye taaza Tarz-e-Sitam
Yeh kya khyal hai,woh kya khyal karte hain


وہاں فریب و دغا میں کمی کہاں توبہ
ہزار چال کی وہ ایک چال کرتے ہیں


Wahan Fareeb-o-Dagha mein kami kahan touba
Hazaar chaal ki woh aik chaal karte hain


نہیں ہے موت سے کم اک جہان کا چکر
جنابِ خضر یونہی انتقال کرتے ہیں


Nahin hai mout se kam Ek jahan ka chakar
Janab-e-Khizar Younhi inteqal karte hain


چھری نکالی ہے مجھ پر عدو کی خاطر سے
پرائے واسطے گردن حلال کرتے ہیں


Churi nikali hai Mujh par Aadow ki Khatir
Paraye wastay Gardan halaal karte hain


یہاں یہ شوق، وہ نادان، مدعا باریک
انھیں جواب بتا کر سوال کرتے ہیں


Yahan yeh shauq,woh nadaan,Mudaa Bareek
Unhain jawaab bata kar Sawaal karte hain


ہزار کام مزے کے ہیں داغ الفت میں
جو لوگ کچھ نہیں کرتے کمال کرتے ہیں


Hazaar kaam mazay k hain Daagh Ulfat main
Jo log Kuch nahi karte Kamaal karte hain


Daagh Dehlvi

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo