Har Cheez Mushtarik Thi Hamaari Siwaaey Naam Aur Aaj Reh Gaya Hai Ta'alluq Braaey Naam



  ھر چیز مُشترک تھی ھماری سِوائے نام
اور آج رہ گیا ھے تعلُّق برائے نام

اشیائے کائنات سے نا آشنا تھا مَیں
پھر ایک اِسم نے مُجھے سب کے سِکھائے نام

تب مَیں کہوں کہ سچّا ھُوں یک طرفہ عشق میں
وہ میرا نام پُوچھے، مُجھے بُھول جائے نام

وہ دلرُبا بھی تھی کسی شاعر کی کھوج میں
مَیں نے بھی پھر بتایا تخلّص بجائے نام

محفِل میں چُپ بھی بیٹھوں تو پہچانتے ھیں لوگ
بدنام ھو کوئی تو کہاں تک چُھپائے نام

لشکر بنا رھا ھُوں جوانانِ عشق کا
جس میں بھی آگ ھے، مُجھے مِل کر لکھائے نام

مَیں نام رکھ نہ پایا گُلِ نَو شگُفتہ کا
حالانکہ شاخِ گُل نے ھزاروں سُجھائے نام

تُو عشق پائے عشق کے مرنے کے بعد بھی
فارس ! مزارِ دل پہ ترا جگمگائے نام

رحمان فارس

Har Cheez Mushtarik Thi Hamaari Siwaaey Naam
Aur Aaj Reh Gaya Hai Ta'alluq Braaey Naam

Ashyaa-e-Kaainaat Se Naa-Aashna Tha Main
Phir Aik Ism Ne Mujhey Sab Ke Sikhaaey Naam

Tab Main Kahon Keh Saccha Hon Yak-Tarfa Ishq Mein
Woh Mera Naam Poochhey, Mujhey Bhool Jaaey Naam

Woh Dilrubaa Bhi Thi Kisi Shaair Ki Khoj Mein
Main Ne Bhi Phir Btaaya Takhallus Bajaaey Naam

Mehfil Mein Chup Bhi Bethon Toh Pehchaantey Hein Log
Badnaam Ho Koi Toh Kahan Tak Chhupaaey Naam

Lashkar Banaa Raha Hoon Jawaanaan-e-Ishq Ka
Jis Mein Bhi Aag Hai, Mujhey Mil Kar Likhaaey Naam

Main Naam Rakh Na Paaya Gul-e-Nau-Shagufta Ka
Haalankey Shaakh-e-Gul Ne Hazaaron Sujhaaey Naam

Tu Ishq Paaey Ishq Ke Marney K Baad Bhi
Faris ! Mazaar-e-Dil Pe Tera Jagmagaaey Naam

Rehman Faris

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha