Jab Khizaan Aaey Toh Pattey Na Samar Bachta Hai Khaali Jholi Liey Weeraan Shajar Bachta Hai



جب خزاں آئے تو پتّے نہ ثَمَر بچتا ھے
خالی جھولی لیے ویران شجَر بچتا ھے

نُکتہ چِیں ! شوق سے دن رات مِرے عَیب نکال
کیونکہ جب عَیب نکل جائیں، ھُنَر بچتا ھے

سارے ڈر بس اِسی ڈر سے ھیں کہ کھو جائے نہ یار
یار کھو جائے تو پھر کونسا ڈر بچتا ھے

روز پتھراؤ بہت کرتے ھیں دُنیا والے
روز مَر مَر کے مِرا خواب نگر بچتا ھے

غم وہ رستہ ھے کہ شب بھر اِسے طَے کرنے کے بعد
صُبحدم دیکھیں تو اُتنا ھی سفر بچتا ھے

بس یہی سوچ کے آیا ھُوں تری چوکھٹ پر
دربدر ھونے کے بعد اک یہی در بچتا ھے

اب مرے عیب زدہ شہر کے شر سے، صاحب
شاذ و نادر ھی کوئی اھلِ ھُنر بچتا ھے

عشق وہ علمِ ریاضی ھے کہ جس میں فارس
دو سے جب ایک نکالیں تو صفَر بچتا ھے

رحمان فارس

Jab Khizaan Aaey Toh Pattey Na Samar Bachta Hai
Khaali Jholi Liey Weeraan Shajar Bachta Hai

Nukta-Cheen ! Shoq Se Din Raat Merey Aib Nikaal
Kyunkey Jab Aib Nikal Jaaein, Hunar Bachta Hai

Saarey Dar Bas Isi Dar Se Hein K Kho Jaaey Na Yaar
Yaar Kho Jaaey To Phir Konsa Dar Bachta Hai

Roz Pathraao Bohat Kartey Hein Duniya Wale
Roz Mar Mar Ke Mera Khuwaab-Nagar Bachta Hai

Gham Woh Rastaa Hai K Shab Bhar Isey Tay Karney Ke Baad
Subah-Dam Dekhein Toh Utna Hi Safar Bachta Hai

Bas Yehi Soch K Aaya Hoon Teri Chokhat Par
Dar-ba-Dar Honey K Baad Ik Yehi Dar Bachta Hai

Ab Mere Aib-Zadaa Shehr Ke Shar Se, Sahib !
Shaaz-o-Naadar Hi Koi Ahl-e-Hunar Bachta Hai

Ishq Woh Ilm-e-Rayaazi Hai K Jis Mein ''Faris''
Do Se Jab Aik Nikaalein To Sifar Bachta Hai

Rehman Faris

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo