Pehley Pukaartey They Mujhey Gaaliyon K Saath Phir Thak Gaey, Bulaaney Lagey Taaliyon K Saath



پہلے پُکارتے تھے مُجھے گالیوں کے ساتھ
پھر تھک گئے، بُلانے لگے تالیوں کے ساتھ

اِن لڑکیوں کے بھیس میں پریاں بھی ھیں بہت
مت بیٹھیو اُداس بدن والیوں کے ساتھ

چَھن چَھن کے آ رھی تھی اُس اُجلے بدن کی آنچ
پوشاک تھی سیَاہ مگر جالیوں کے ساتھ

ھمدم نہ ھو تو کیا بھلا پینے کا فائدہ ؟
بیٹھا ھُوں کب سے چائے کی دو پیالیوں کے ساتھ

دُنیا سے بھی گُریز ھے، مَے سے بھی احتراز
میرا نہیں ھے ربط اب اِن سالیوں کے ساتھ

شامِ سیاہ اور شبِ تاریک خُوب ھیں
اچھی گُذر رھی ھے اِنہی کالیوں کے ساتھ

چُومے گی شاھزادی اُسی شہ سوار کو
آئے گا جو گُلوں سے لدی ڈالیوں کے ساتھ

کچّے گھروں کے ساتھ ھیں اُونچی حویلیاں
بدحالیاں ھیں شہر میں خُوشحالیوں کے ساتھ

ھونٹوں پہ ھیں نشان تو گالوں پہ ھیں گُلال
کس مُنہ سے گھر کو جاؤ گے ان لالیوں کے ساتھ ؟

کچھ پتّیاں، ذرا سی مہک اور تھوڑا رنگ
بیٹھا ھُوں اِس اُمید پہ مَیں مالیوں کے ساتھ

فارس ! کبھی تو آئیے درگاہِ عشق میں
مَے بھی پلائی جائے گی قوّالیوں کے ساتھ

رحمان فارس

Pehley Pukaartey They Mujhey Gaaliyon K Saath
Phir Thak Gaey, Bulaaney Lagey Taaliyon K Saath

In Larkiyon K Bhais Mein Priyaan Bhi Hein Bohat
Mat Bethiyo Udaas Badan Waaliyon K Saath

Chhan Chhan K Aa Rahi Thi Us Ujley Badan Ki Aanch
Poshaak Thi Seyaah Magar Jaaliyon K Saath

Hamdam Na Ho To Kya Bhlaa Peeney Ka Faaida ?
Betha Hoon Kab Se Chaaey Ki Do Pyaaliyon K Saath

Duniya Se Bhi Gurez Hai, Mai Se Bhi Ehtraaz
Mera Nahin Hai Rabt Ab In Saaliyon K Saath

Shaam-e-Sayaah Aur Shab-e-Taareek Khoob Hein
Achhi Guzar Rahi Hai Inhi Kaaliyon K Saath

Choomey Gi Shaahzaadi Usi Sheh-Swaar Ko
Aaey Ga Jo Gulon Se Bhri Daaliyon K Saath

Kacchey Gharon K Saath Hein Oonchi Haweliyaan
Bad-Haaliyaan Hein Shehr Mein Khush-Haaliyon K Saath

Honton Pe Hein Nishaan Toh Gaalon Pe Hein Gulaal
Kis Munh Se Ghar Ko Jaao Gey In Laaliyon K Saath ?

Kuch Pattiyaan, Zara Si Mehek Aur Thora Rang
Betha Hoon Is Umeed Pe Main Maaliyon K Saath

Faris ! Kabhi Toh Aaiyey Dargaah-e-Ishq Mein
May Bhi Pilaai Jaaey Gi Qawwaaliyon Ke Saath

Rehman Faris

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai