Dekhte Jao Magar Kuch Bhi Zubaan Say Nah Kaho Maslehat Ka Yeh Taqaza Hai K Khamosh Raho



دیکھتے جاؤ مگر کچھ بھی زبان سے نہ کہو
مصلحت کا یہ تقاضا ہے کہ خاموش رہو
لوگ دیکھیں گے تو افسانہ بنا ڈالیں گے
یوں میرے دل میں چلے آؤ کہ آہٹ بھی نہ ہو
گنگناتی ہوئی رفتار بڑی نعمت ہے
تم چٹانوں سے بھی پھوٹو تو ندی بن کے بہو
غم کوئی بھی ہو جوانی میں مزہ دیتا ہے
غمِ جاناں جو نہیں ہے غمِ دوراں ہی سہو
ہو چکے پیار میں رُسوا سرِ بازار قتیل
اب کوئی ہم کو نہیں فِکر جو ہونا ہے سو ہو

Dekhte Jao Magar Kuch Bhi Zubaan Say Nah Kaho
Maslehat Ka Yeh Taqaza Hai K Khamosh Raho
Log Dekhen Gay To Afsana Bana Dalain Gay
Yun Mere Dil Mein Chalay Aao K Aahat Bhi Nah Ho
Gun’guna’tee Hui Raftaar Barri Naimat Hai
Tum Chatanoo Say Bhi Phooto To Nadi Ban K Baho
Gham Koi Bhi Ho Jawani Mein Maza Deta Hai
Gham E Janan Jo Nahi Hai Gham E Dauraan Hi Saho
Ho Chuke Pyar Mein Ruswa Sar-E-Bazaar Qateel
Ab Koi Hum Ko Nahi Fikar Jo Hona Hai So Ho

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai