Wafa Mein Ab Ye Hunr Ikhteyaar Karna Hai Woh Sach Kahe Na Kahe Itbaar Karna Hai
وفا میں اَب یہ ہُنر اِختیار کرنا ہے
وہ سچ کہے نہ کہے اعتبار کرنا ہے
یہ تجھ کو جاگتے رہنے کا شوق کب سے ہوا ؟
مجھے تو خیر تیرا انتظار کرنا ہے
ہوا کی زد میں جلانے ہیں آنسوؤں کے چراغ
کبھی یہ جشن بھی سرِ راہ گزار کرنا ہے
وہ مسکرا کے نئے وسوسوں میں ڈال گیا
خیال تھا کہ اُسے شرمسار کرنا ہے
چلو یہ اشک ہی موتی سمجھ کے بیچ آئیں
کسی طرح تو ہمیں روزگار کرنا ہے
خدا خبر یہ کوئی ضد ہے؟ کہ شوق ہے؟ محسنؔ
خود اپنی جان کے دشــــمن سے پیار کرنا ہے
محسنؔ نقوی
Wafa Mein Ab Ye Hunr Ikhteyaar Karna Hai
Woh Sach Kahe Na Kahe Itbaar Karna Hai
Ye Tujh Ko Jagty Rehny Ka Shouq Kab Se Hoa?
Mujhe Tou Khair Tera Intezaar Karna Hai
Hawa Ke Zid Mein Jalane Hain Aansoun Ke Chiraagh
Kabhi Ye Jishan Bhi Sar e Raah-Guzar Karna Hai
Woh Muskura Ke Naye Waswaso Mein Daal Gaya
Khayaal Tha Keh Ussay Sharamsaar Karna Hai
Chalo Ye Ashk Hi Moti Samajh Ke Baich Aaen
Kisi Tarah Tou Hamein Rozgaar Karna Hai
Khuda Khabar Ye Koi Zid Hai Keh Shouq Hai? MOHSIN
Khud Apni Jaan Ke Dushman Se Piyaar Karna Hai
Mohsin Naqvi
Comments
Post a Comment